Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain,Ana Minal Hussain - Ana Minal Hussain.Yahi To Irshad-e-Haq Hua Hai,Nabi Ne Ye Baarha Kaha Hai,Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain.Hussain Kya Hai? Nabi Ki Azmat,Hussain Kya Hai? Khuda Ki Rehmat.Hussain Kya Hai? Dilon Ki Rahat,Hussain Kya Hai? Tamaam Nuzhat.Hussain Kya Hai? Jalal-e-Akbar,Hussain Kya Hai? Khaseem-e-Kausar.Hussain Kya Hai? Jamal-e-Emaan,Hussain Kya Hai? Ghamon Ka Darmaan.Hussain Kya Hai? Payam-e-Barhaq,Hussain Kya Hai? Imam-e-Barhaq.Hussain Maula-e-Kul Jahan Hain,Hadees-e-Paighambar Ka Bayaan Hain.Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain,Ana Minal Hussain - Ana Minal Hussain.Hussain Quran Ki Zubaan Hain,Hussain Emaan Ka Nishan Hain.Wahi To Aks-e-Jamal-e-Rab Hain,Wahi To Shahenshah-e-Arab Hain.Hussain Aalam Pe Chha Gaye Hain,Chiragh-e-Batil Bujha Gaye Hain.Sifaat Ka Ya Fazilaton Ka,Bayaan Kya Kar Sakega Insaan.Zubaan Khamosh, Dil Pareshan,Qalam Mein Baaqi Rahi Nahin Jaan.Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain,Ana Minal Hussain - Ana Minal Hussain.Hussain Takmeel-e-Panjatan Hain,Ziya-e-Qalb-e-Shah-e-Zaman Hain.Ye Rehmat-e-Haq Ki Anjuman Hain,Bahar-e-Islam Ka Chaman Hain.Hussain Kya Hain? Amal Ka Daftar,Hussain Kya Hain? Ghareeb Parwar.Hussain Emaan Ka Shajar Hain,Hussain Naaz-e-Abul Bashar Hain.Hussain Ek Noor-e-Jalwagar Hain,Jahan Mein Rangeen Ye Sahar Hain.Kaha Ye Jibraeel Ne Nabi Se,Mujhe Ye Rutba Mila Unhi Se.Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain,Ana Minal Hussain - Ana Minal Hussain.
Hussain O Minni Wa Ana Minal Hussain
Mir Abid Ali Moosvi · Poet: Banda E Khuda · 1448
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.