Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ilayya Ya Bunaiyya

Farhan · 2003

Ilayya Ya BunaiyyaIlayya Ya Bunaiyya[Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya] ×2Ter BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan[Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya] ×2Thookrain Khaati Hui Maqtal Mein Kion Aai Hai TuMujh Ko Dikhlanay Tamanchon Kay Nishan Lai Hai TuNeend Say Aankhein Hai Bojhal Aa Meray Nazdeek AaTera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan[Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya] ×2Jaanta Hoon Meray Senay Par Sada Soi Hai TuTeri Aankhein Keh Rahi Hain Kis Qadar Roi Hai TuIs Andheray Dasht Mein Kion Daiti Hai Mujh Ko SadaTera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan[Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya] ×2Aaj Ki Shab Maan(s.a.) Kay Paihloo Mein Hi Sona Tha TumhainPiyasay Bachon Aur Phuphi(s.a.) Sath Rehna Tha TumhainAa Meray Teeron Bharay Seenay Peh Aakay Lait JaaTera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan[Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya] ×2Hogai Hai Shaam Phir Bhi Garm Hai Saari ZaminDaikh Teray Paoon Mein Chalay Na Parh Jaen KahinKion Nikal Aai Hai Khaimay Say Barehna Pa BataTera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan[Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya] ×2Sogaey Wehshi Darinday Tu Hai Ab Tak JaagtiPhir Rahi Hai BaBa(a.s.) BaBa(a.s.) Kehti Meri LaadliMain Yahan Aur Nehr Peh Betab Hotay Hain Chacha(a.s.)Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan[Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya] ×2Aa Meri Aaghosh Mien Kuch Dair Aakay Lait JaPhir To Sooey Shaam Jaega Hamara Qafla(a.s.)Teri Gardan Mein Rasan Bandhay Gi Yeh Fauj-e-JafaaTera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan[Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya] ×2Tujh Ko Paidal Mujh Ko Naizay Par Safar Karna Hai AbKarbala Sar Hochuki Hai Shaam Sar Karan Hai AbDaikh Marqad Chorh Kay Maqtal Mein Aaen Syeda(s.a.)Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan[Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya] ×2Beh Raha Hai Khoon Kaanon Say Sakina Kis QadarAskh Say Chehra Hai Bheega Khon Say Poshak TarDaikh Kar Tujh Ko Pukara Laasha-e-Besar MeraTera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan[Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya] ×2

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.