Jaane wale karbala ke karbala le chal mujhe..(4)Jaane wale karbala ke karbala le chal mujhe..(2)Roza e shabbir par dunga dua le chal mujheJaane wale karbala ke karbala le chal mujhe..(2)1. Hai jaha'n ganje shahida, hai jaha'n nehre furaat..(2)jis jagah sayyed mera pyaasa raha le chal mujhe2. Jis jagah jaagi thi qismat hurr ki wo dekhunga mai..(2)aasiyo'n par kaise hoti hai ataa le chal mujhe3. Is qadar nadaar hu zaade safar kuch bhi nahi..(2)dosh par apne bitha kar aye hawa le chal mujhe4. Jis jagah abbas ke baazu qalam hokar gire..(2)us jagah mai bhi karu matam zara le chal mujhe5. Dil ulajh kar aagaya barchi mein akbar ka jaha'n..(2)dil waha'n mai bhi karu apna fida le chal mujhe6. Jal gaye shaam e ghareeba mein jaha'n khaime tamaam..(2)jis jagah nanha sa ek jhoola jala le chal mujhe7. Haaye wo maqtal jaha'n baali sakina raat mein..(2)dhundhti phirti thi seena baap ka le chal mujhe8. Sarwar o rehan har majlis mein karte hai dua..(2)haq wahi'n nauho ka hoga adaa le chal mujhe
Jaane wale karbala ke
Nadeem Sarwar · 1997
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.