Azadari MediaAzadari Media

Jab Gurz Laga Hai

Konain Hariyani · Poet: Maulana Zafarul Hasan · 1448

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Abbas Ki Ghurbat Pe Falak Kaanp Utha HaiAbbas Ki Ghurbat Pe Falak Kaanp Utha Hai,Saqqa-e-Haram Khaak Pe Us Waqt Gira Hai,Jab Gurz Laga Hai.Paani Ke Liye Baithe Hain Jo Khaime Ke Dar Par,Un Pyaason Ke Haathon Se Gire Chhoot Ke Saaghar.Is Darja Asar Bachchon Ke Dil Par Bhi Hua Hai,Jab Gurz Laga Hai.Baazu To Qalam Ho Chuke Pehle Hi Jari Ke,Ab Ghode Se Girte Hue Kya Khaak Pe Teken.Ae Ahl-e-Aza, Munh Ke Hi Bal Sher Gira Hai,Jab Gurz Laga Hai.Har Lamha Khayalat Mein Hai Pyaasi Bhatiji,Bachchon Ko Liye Khaime Ke Dar Par Hai Jo Baithi.Farmaya Sakina Se Ke Sharminda Chacha Hai,Jab Gurz Laga Hai.Main Khud Hun Kahin Aur Mere Shaane Kahin Hain,Tazeem Karun Kaise Ke Ab Haath Nahin Hain.Aaqa Se Ye Abbas Ne Ro Ro Ke Kaha Hai,Jab Gurz Laga Hai.Ye Waqt-e-Safar Maa Ne Madine Mein Kaha Tha,Cheene Na Koi Chadar-e-Zainab Mere Beta.Amma Ki Wasiyyat Ko Bahut Yaad Kiya Hai,Jab Gurz Laga Hai.Us Waqt Musibat Mein Bhi Yaad Aaye Woh Waade,Ro Ro Ke Tasawwur Mein Behen Se Ye Bole.Zainab, Teri Chadar Ka Nigehbaan Khuda Hai,Jab Gurz Laga Hai.Sughra Se Kiye Waade Ka Itna Hua Ehsaas,Rukh Karke Madine Ki Taraf Ro Diye Abbas.Beemar Bhatiji Ko Bahut Yaad Kiya Hai,Jab Gurz Laga Hai.Jab Maa Ne Madine Mein Ye Zainab Se Poocha,Beti Mera Abbas Gaya Kis Tarah Maara.Zainab Ne Kaha Ghode Se Us Waqt Gira Hai,Jab Gurz Laga Hai.Kaunain Qayamat Ka Samaan Aata Tha Jab Yaad,Bechaini Se Rote The Bahut Sayyad-e-Sajjad.Farmate The Tab Mara Gaya Mera Chacha Hai,Jab Gurz Laga Hai.

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.