Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Jab karbala ki

Fatema Ladak · 2013

Jab karbala kiJab karbala ki simt barha haq ka rehnuma, kuch agaya khayaal jo maa ke mazaar kaAya suwey Baqee wo Zahra ka laadla, rukhsaar rakh ke sadr e lehed par ye di sadaChut ta hai ab Madina merey dil ko thaam lo, Amma ghareeb betey ka aakhir salam loAmma tumharey laal se chut ta hai aaj ghar, amma tumharey laal se bargashta har nazarAmma tumharey laal ka dushman hai har bashar, amma tumharey laal ka hai aakheri safarSehra me dil ke tukro ki basti basayega, amma Hussein ab na madiney me ayegaAmma dua karo ke mai saabit qadam rahu, duniya khilaaf ho pa hiraasan zara nahuHar lamha muskura key sitam par sitam sahu, nazro ke saamney jo lutey ghar na kuch kahuAmma ye aansu aayein na Akber ke waastey, raasha na aaye hatho me asghar ke waasteyMaa se ye kehraha tha abhi maa ka laadla, awaz aayi qabr se ay merey mehlaqaSadqey teri musibat o ghurbat pe Fatema, bas ay Hussein bas ke hila arsh e kibriyaTarpey Abul Hassan bhi dil e beqarar se, beta Rasool e haq nikal aye mazaar seAy merey laal terey irado ke mai nisaar, ye akheri safar hai merey dil ka izteraarKaisey kahu jo dilpe guzarti hai gul azaar, hota hai be charaagh merey baap ka mazaarJo tujpe zulm hongey ye dukhiya uthayegi, beta ye gham naseeb terey saath jayegiAansu bahaungi terey ranjo alam ke saath, aankhein bichaungi terey naqshey qadam ke saathZahra nidhaal hogi har ek taza gham ke saath, mera kaleja niklega potey ke dam ke saathGhabhra na merey laal har ek dukh bataungi, mai terey saath lasha e Akber uthaungiJayega tu jo nehr pe bhaai ki laash par, mai terey saath saath chalungi barehna sarBeta Hussein kya tuje iski nahi khabar, Abbas tera bhaai to mera dil o jigarTu laash layega to safey gham bichaungi, mai ghod me katey huwe haathon ko laungiBeta Hassan ke laal ki khaatir ye kya malaal, merey Hassan ne tujpe nichawar kiya wo laalFidye ke waastey koi karta hai yu malaal, beta mai us ghari bhi rahungi sharik e haalGham hai qadam utha ke dil e paash paash ke, turkey chunungi ran se mai Qasim ki laash keHaan merey laadley meri Zainab se hoshiyaar, be parda ho na jaye kahi meri parda daarMehmil ke saath saath hon Abbas e zee waqar, taakeed ho ye Akbar e mehru ko baar baarAamaada har qadam pe rahein peshwaai ko, takleef ho na raah me Zahra ki jaayi koJaa marqad e Rasool pe ay merey laal afaam, laazim hai nanajaan ko bhi aakheri salaamDena meri taraf se ye hasrat bhara payam, mumkin nahi madiney me Zahra karey qayaamTum bhi lahu me apna chaman dekhney chalo, Zainab ke bazuon me rasan dekhney chalo

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.