Haaye...Jab karbala ki simt badha haq ka rahnuma..kuch aagaya khayal jo maa ke mazaar kaaaya sue baqi wo... zahra ka laadlarukhsaar rakhke sadre lahad, par ye di sadaachhut-ta hai ab madina mere, dil ko thaam loamma ghareeb bete ka aakhir salaam loamma tumhare laal se, chut-ta hai aaj gharamma tumhare laal se, bargashta har nazaramma tumhare laal ka dushman hai har basharamma tumhare laal ka hai aakhri safarsehra mein dil ke tukdo'n ki basti basaegaamma hussain ab na madine mein aayegamaa se ye keh raha tha abhi maa ka laadlaawaaz aayi qabr se, aye mere mehlaqasadqe teri musibat o ghurbat ke fatemabus aye hussain bus ke hila, arshe kibriyatadpe ab hasan bhi dile beqaraar sebeta rasool e haq nikal aaye mazaar seaye mere laal tere iraado'n ke mai nisaarye aakhri safar hai mere dil ka izteraarkaise kahu'n jo dil pe guzarti hai gul azaarhota hai be charaagh mere baap ka mazaarjo tujh pe zulm honge ye dukhiya uthayegibeta ye ghum-naseeb tere saath jayegiaansu bahaungi tere ranjo alam ke saathaankhein bichaungi tere nakshe qadam ke saathzehra nedhaal hogi har ek taaza ghum ke saathmera kaleja niklega akbar ke dum ke saathghabra na mere laal har ek dukh bataungimai tere saath laasha e akbar uthaungijaaega tu jo neher pe bhai ki laash parmai tere saath saath chalungi barehna sarbeta hussain kya tujhe is ki nahi khabarabbas tera bhai to mera dilo jigartu laashe layega to safe ghum bichaungimai god mein kate hue haatho'n ko laungibeta hasan ke laal ki khatir ye kya malaalmere hasan ne tujhpe nichawar kiya wo laalfidye ke waaste koi karta hai yu malaalbeta mai us ghadi bhi rahungi shareek e haalghum hai qadam uthake dile paash paash ketukde chunungi rann mein mai qasim ki laash kehaan mere laadle meri zainab se hoshiyaarbe parda ho na jaye kahi'n meri pardadaarmehmil ke saath saath ho abbas e zee'n weqaartakeed ho ye akbar e mehroo ko baar baaraamada har qadam pe rahe peshwayi kotakleef ho na raah mein zehra ki jaayi kojaa marqad e rasool pe aye mere laal afaamlazim hai nana jaan ko bhi aakhri salaamdena meri taraf se ye hasrat bhara payaammumkin nahi madine mein zehra kare qayaamtum bhi lahu mein apna chaman dekhne chalozainab ke bazuo'n mein rasan dekhne chalo..(2)
Jab karbala ki simt
Farhan · 2017
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.