Jab naujawan pisar shahe deen se juda huaRoshan qamar sipehre bareen se juda huaNoore nazar imaame mubeen se juda hua- Laqte jigar Hussaine hazeen se juda huaDil daag ho gaya dil-e jaane Batool ka- Ghar bay chiraag hogaya sibte rasool kaBarchi se tukde hogaya laqte jigar ka dilKhud baap ne chida hua dekha pisar ka dilHota hae aab geena se naazuk bashar ka dil- Pathar ka dil nahin hae yeh dil hai pidar ka dilAyoob bhi agar ho toh dum bhar na kal pade- Aansoo thamay toh moonh se kaleja nikal padePeeri mein aafate ghame aulad al amaanDil aur zaqm qanjare foulad al amaanWoh izterab qaatire naashad al amaan- Woh ashke soz aur woh fariyad al amaanBeta na ho toh zeest ka phir kya maza raha- Jab ghar ujad gaya toh zamane mein kya rahaBichda woh laal jis ka gawaara na tha firaaqFarmaate thay ke loot liya tu ne ae IraqAe mauth jald aake bas ab zindagi hae shaaq- Qanjar ki arzoo hae shahadat ka ishtiyaaqBarbaad is tarha koi aabaad ghar na ho- Kya zindagi ka lutf jab apna pisar na hoSab chahen jiski zeest woh sher-e-zhiyan mareyAfsos neem jaan jiye jaane jahan mareyPaida toh kis jagah huve aakar kahan marey- Qudrat Khuda ki peer jiye naujawan mareyIs umr mein jahan se guzarne ke din na thay- Kehta hae qud shabab ke marne ke din na thayPyaare na thay Hussain alaihis salam keLaayi haram saraa mein bahen haath thaam keTharra rahe thay paoun shahe tashna kaam ke- Sar dosh par tha Zainabe aali maqaam keFarmaate thay bahen Ali Akbar guzar gaye- Hum aise saqt jaan thay ke ab tak na mar gayePursa tumhe shaheed ka deney ko aaye hainKis kis ke daag aaj jigar par uthae hainPeete hain qaak udaae hain aansu bahae hain- Yeh hum tumhare laal ke khoon mein nahaae hainSar tha Hussaine bekaso tanha ki goadh mein- Bete ki jaan nikli hae baba ki goadh meinYeh sun ke bibiyon ke jigar par churi chaliZainab zameen pa girkay pukaari ke ya AliSirrey qafi jahan ke hain sab aap par jali- Jaata hae sarkashon mein yeh kownain ka waliBekas ko aasra hae pisar ka na bhai ka- Baba yehi toh waqt hae mushkil kushaai kaYa Mustafa balah mein phansa hae tumhara laalYa shere zuljalaal dikhao inhein jalaalYa Fatema mein lut thi hoon bikhrao sar ke baal- Ya rab ulat dey aaj yeh sab arsie qitaalPhir kya kisi se kaam hai sab se judaa rahoon- Bhai ko apne lekey mein jungle mein ja rahoonDekha yeh kehke baali Sakina ki yaas seLipti woh daud kar shahe gardoon asaas seTaaqath na thi kalaam ki har chand pyaas se- Boli woh tashna kaam shahe haq shinaas seKya is bala ke bun se tahiya safar ka hai- Sadqe gayi batao iraadah kidhar ka haiFarmaaya sheh ne sabr bahen chahiye tumheinQaliq ki yaad sirro alan chahiye tumheinLab par raza raza ka suqan chahiye tumhein- Jo maa ka tha chalan woh chalan chahiye tumheinAb aaqri bahen yeh sawaari hamari hai- Baad in buzurgwaron ke baari hamari haiFarmaya sheh ne haan safar-e-na guzeer haiAao gale lago ke yeh sohbath aqeer haiAb arzoo-e-qurbe Khuda-e qadeer hai- Tanha hai hum sipahey muqalif kaseer haiTeh ho yeh marhala jo eeyaanath Khuda karey- Jiska na koi dost ho bibi woh kya kareJaana hae door shab ko jo aana na ho idharZid karke roiyo na hamein chahti ho garPehle pehal hai aaj shabe furqate pidar- So rahiyo maa ki chaati pah ghurbat se rakh kay sarRahat ke din guzar gaye yeh fasl aur hai- Ab yoon basar karo jo yateemon ka taur haiNanhay se haath jod ke boli woh tashna kaamBatlaiye mujhe ke yateemi hae kis ka naamAnkhon se qoon baha ke yeh kehne lage imam- Khul jayega yeh dard-o-alam tum pah taa-ba shaamBibi na poocho kuch yeh museebat azeem hai- Mar jaae jiska baap woh bachha yateem hai
Jab Naujawan Pisar Shah E Deen Se Juda Hua
Miscellaneous · 1990
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.