Husain Husain (4)Mazloom Husain beykas HusainPyaasey Husain aaqa HusainShiyati Maa in sharibtum ma'a azbin fazkurooni (2)Aw samiyatum Bey gareebin aw shaheedin fandobuniDaaman e sabr o wilaa dast e wilaa mey thaamloParcham e abbas key saaye mey Har in'aam loTishnagaan e karbalaa pey zindagi ka jaam loJab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)Ya Husain Ibne ali (4)1) tum azadar e Hussaini sogwaar e KarbalaMaut Bhi kya cheez Jo rokey tumhaara raastaDhoop mey haasil hai saaya parcham e abbas kaHaath maatam ko uthaawo aur wafa se kaam loJab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)Ya Husain Ibne ali (4)2) Yaad rakhna WO tabassum asgar e beysheer kaHausla todaa hai jisney hurmala key teer kaBey zabaani mey tha jiski maujza taqdeer kaAao us bachey se ab tarbiyyat e islaam loJab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)Ya Husain Ibne ali (4)3) chaadar e zainab bayaa kartey raho taqdeer meyZulm ki gardan ko rakhkho zikr ki zanjeer meyInteqaam e Karbala ho seena e shamsheer meyAshq e ghum ki nazr deykar quld ka in'aam loJab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)Ya Husain Ibne ali (4)4) zulm ney sab kuch kiyaa lekin huwa kuch Bhi nahiZindagi zauq e shahaadat ke siwaa kuch Bhi nahiDeen Jo Bhi naa siwaaye Karbala kuch Bhi nahiKarbala waalo sey jeeney ka sabaq Har gaam loJab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)Ya Husain Ibne ali (4)5) nusrat e dee'n key liye kaisey nikalnaa chaahiyeRaahey deen e mustafa pey kaisey chalna chaahiyeKis tarha taqdeer e aalam ko badalna chaahiyeKarbala se hazrat e Shabbir ka paigaam loJab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)Ya Husain Ibne ali (4)6) inteqaam e Karbala ki hai sadaaye Al hazarGoonj se jiskey jahaa mey hil rahey hai baam o darrMuntazar ko dhoondti hai Har mujaahid ki nazarAb imam e waqt ko aawaaz do anjaam loJab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)Ya Husain Ibne ali (4)7) Karbala hai kushta e Shabbir hai aur hum abadZindagi badhtey rahey kartey raho maatam abadQaas neymat hai ataa e sayyada ye hum abadBaargaah e sayyada se khuld ka in'aam loJab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)Husain Husain (2)
Jab piyo pani
Ali Safdar · 2015
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.