Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Jab Qatl Kiya Nahar Pa Saqqa-E-Haram Ko

Miscellaneous · 1990

Jab Qatl Kiya Nahar Pa Saqqa-E- Haram KoBhaai Ka Diya Daagh Shahinshaah-E Umam KoPaani Na Diya Pyaas Me Us Bhar-E- Karam KoTha Shour Ke Ab Qouf Kisi Ka Nahin Ham KoGhaazi Ko Jigar Band-E- Yadullah Ko MaaraAbbas Ko Kya Qatl Kiya Shaah Ko MaaraAada Tho Ye Kahthe The Shah-E-Deen Ka Ye Tha HaalTar Aansuounse Hotha Tha Rumaal Pa RumaalFarmaathe The Kya Hogaye Abbas-E- Qush IqbaalDunya Me Nahi Jeene Ka Ab Fatema Ka LaalBin Bhai Basar Hogi Na Ek Aan HamaariAbbas Ke Maatam Me Gayi Jaan HamaariBekas Huwe Ab Koi Nahi Hamdam-O- YaawarPaaenge Kahan Aisa Wafaadar BaradarBar Aae Kahin Aarzu-E- Sibte PayambarJaldi Meri Gardan Pa Chale Zulm Ka QanjarDushman Pa Bhi Ye Aalam-E- Tanhaai Na HoweJeene Ka Mazaa Khaak Hai Jab Bhaai Na HoweYe Kahke Tadapne Lage Sultan-E- Do AalamBarpaa Tha Ajab Qaima-E- Shabbir Me MaatamChillati Thi Zainab Ke Jigar Phat-Te Hai Is DamBhaai Ke Alam Me Na Jiyenge Shah-E- AkramAndher Jahan Hai Jo Alamdar Nahi HaiKoi Mere Bhaai Ka Madadgaar Nahi HaiSamjhaake Use Ran Ko Chale Jab Shah-E- AbraarDewdhi Aqab-E- Shaah Sakina Jigar AfgaarChillai Ke Baba Mujhe Yaan Chodho Na ZinhaarDikhlaade Mujhe Laasha-E- Abbas-E- AlamdarPaani Na Mila Margaye Wo Qhoon Me Naha KarMai Roungi Ab Laasha-E- Abbas Pa JaakarDekhaa Jo Use Shaah Ne Ba Deeda-E- GiryaaKahne Lage Beti Se Basad Naala-O- FughaaMaare Na Koi Teer Tumhen Dushman-E- EemaaChalna Tera Laashe Pa Muaasib Nahi Is AanWo Kahthi Thi Mai Ji Se Guzar Jaaungi BabaWaan Leke Na Chaliyega Tho Marjaaungi Ba BaAaqir Use Darya Ki Taraf Leke Chale ShaahYun Kahne Lage Fouj Se Badh Kar Kai GumraahKya Qasd Hai Jaathe Ho Kidhar Aye Shah-E- ZeejaahDarya Pa Wo Maare Gaye Thi Jinki Tumhen ChaahPaani Ke Liye Laakh Jawaanoun Se Lade HainAur Haath Kataae Huwe Rethi Pa Pade HainNaagaah Nazar Aaya Unhen Laash-E- AbbasChilla-E- Ke Kaha Haae Ham Ab Hogaye Be AasPahoonchunge Na Tum Tak Tha Yahi Bhaai Ko WiswaasAb Kown Bijhaaega Sakina Ki Bhala PyaasHaathoun Ke Tasadduq Tan-E- Sad Paash Ke SadqeAye Jaan-E- Baradar Mai Teri Laash Ke SadqeAankhoun Ko Zara Kholo Tho Qurbaan Ho BhaaiQaime Se Sakina Tumhe Lene Ko Hai AaiKyun Reth Me Ye Chaand Si Surat Hai ChupaaiSar Peet Ke Tab Kahne Lagi Shaah Ki JaaiHae Hae Ujhe Surat Nahi Dikhlaathe Hain AmmuMai Pyaasi Rahi Isliye Sharmaathe Hain AmmuTadpi Jo Ye Kah Ke Sakina Jigar AfgaarTharrane Lage Laasha-E- Abbas-E- AlamdarLaashe Se Lipat Kar Ye Pukaare Shah-E- AbrarSadqe Teri Ulfath Ke Hussain Aye Mere GhamqhwaarRone Na Diya Tha Kabhi Is Tashna Dahaan KoTharrathe Ho Ab Su Nke Sakina Ki Fughaan KoQaatoon-E- Qayamath Ki Sada Itne Me AaiMaara Gaya Hae Hae Mere Shabbir Ka BhaaiFarzand Se Farmaya Ye De De Ke DuhaaiPursaa Tumhen Deti Hai Ye Gardoun Ki SataaiShabbar Bhi Basad Dard-O- Bukaa Peet Rahe TheLaashe Ke Qareen Shere Qudaa Peet Rahe TheYe Sunke Tadapne Laga Abbas Ka DildaarChillaya Ke Ab Hogaye Ham Bekas-O- NaachaarHam Jeethe Rahe Qatl Huwa Shaah Ka GhamqhwaarTa Hashr Na Ab Dekhenge Ham Baap Ka DeedaarIs Umr Me Kya Zulm-O- Sitam Hogaye Hae HaeFaryaad Ke Bin Baao Ke Ham Hogaye Hae Hae

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.