Azadari MediaAzadari Media

Janaza Zehra Ka Uth Raha Hai

Mashhad Jalalpuri · Poet: Masoom Maroofi · 2026

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Read in
Ali Ki Aankhon Mein Khoon Bhara HaiJanaza Zahra Ka Uth Raha HaiNabi Ke Roze Ko Zalzala HaiJanaza Zahra Ka Uth Raha HaiYe Kaisa Ummat Ne Zulm DhaayaNabi Ki Beti Ka Ghar JalaayaShikasta Pehlu Bhi Ho Chuka HaiJanaza Zahra Ka Uth Raha HaiAli Ke Bachchon Ka Qad Hai ChhotaWoh Dein Janaze Ko Kaise KandhaQadam Qadam Ek Karbala HaiJanaza Zahra Ka Uth Raha HaiHayaat Athaarah Saal Ki ThiAbhi Se Baalon Mein Ye SafediJahan Ne Kaisa Sitam Kiya HaiJanaza Zahra Ka Uth Raha HaiHasan Ka Tukde Hua KalejaHussain Bhi Padh Rahe Hain NauhaKaleja Zainab Ka Phat Raha HaiJanaza Zahra Ka Uth Raha HaiRasool-e-Haq Ki Jo Thi AmaanatWoh Ho Rahi Hai Jahan Se RukhsatTamaacha Rukhsaar Par Laga HaiJanaza Zahra Ka Uth Raha HaiEk Hashr Hai Bait-e-Mustafa MeinBapa Hai Kohraam Ambiya MeinFiza Mein Jibreel Ki Sada HaiJanaza Zahra Ka Uth Raha HaiKarenge Hasnain Kyun Na GiriyaNahi Hai Ab Sar Pe Maa Ka SaayaGharana Haider Ka Ghamzada HaiJanaza Zahra Ka Uth Raha HaiArab Ki Malika Ki Jo Thi BetiKya Hai Ummat Ne Usko ZakhmiNabi Ka Tukda Jigar Hua HaiJanaza Zahra Ka Uth Raha HaiBapa Ho Masoom Kyun Na MatamHo Chashm-e-Mashhad Na Kis Tarah NamYe Ek Jumla Bahut Bada HaiJanaza Zahra Ka Uth Raha Hai

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.