Haa....Jab tisri shaban ko aya gul-e-Zahra (sa)Shabbir (as) ko godi me Muhammad (saws) ne uthayaHaddar jo khushi se rukh-e-masoom ko dekhaItne me sada dar pe yeh Jibreel (as) ki aayiYa saiyadi qurbaan duhayi hai duhayiKehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka 31) Loh-e-mehfooz ek ek satar laya huEk tehrir hai purdard magar laya huEk safar nama-e-magh mu-e-jigar layaDin khushi hai magar ghum ki khabar laya huDil me hai khanjar Loha zaba'n parSaiyadi -3 salamalayka2)Sath mehzar ke me wo khaak-e-shifa laya huSaari duniya ke liye ghum ki dawa laya huUmme Salma(sa) ki zaaefi ka asa laya huYani rumaal me maqtal hi chhupa laya huispe girega khoon-e-bahattarSaiyadi -3 salamalayka3)Sunke Jibreel(as) ki faryad Muhammad (saws)ne kaha kya hai mehzar me likha-2mujhko sunao to ZaraRoke kehne laga Jibreel(as)meri jaan fidaAapke pyaare nawase ka shahadatnamaKarbobala main jaayga dilbarSaiyadi-3 salamalayka4)Bole Jibreel(as) padho mehzar-e-ghum bade salamIsme shamil hai shahido ke asiro ke bhi naamAkraba ahl-e-haram chand kanizo aur gulamKoi maqtal me rahega to koi jaayga shaamKoi hai be sar koi khule sarSaiyadi-3 salamalayka5)Roz-e-jumma hai likha aur san iksath hijriAap ke pyaare nawase ki shahadat hogiAap honge na Hasan(as) honge na Zahra(sa)-O-Ali(as)Sunke Halmin ki sadae bhi na aayga koiHoga akela naaz sh-e-Haidar(as)Saiyadi-3 jaan Hussain(as)-36)Ya Nabi(saws) aapki ummat yeh sitam dhaygiJab su-e-Karbobala Shah(as) ko bulwaygiAapki aar Madine me na reh paygiAapke baad yeh duniya hi badal jaygiJaayge maqtal chhordh ke jab gharSaiyadi-3 jaan Hussain(as)-37)Joun(as)-o-Hur(as) aur Habib(as) ibne Mazahir AsadiKaise jaabaz wafadar hai Wehbe kalaniQasim(as)-o-Akbar(as)-o-Abbas(as) alamdar-e-jariHaye Asghar(as)-o-Aun(as)-o-Muhamma(as) bhi hai kamsin hi sahiShamil-e-mehzar hai yahi lashkarSaiyadi-3 salamalayka8)Haye ab dekhiye Jibreel(as) ki aakho'n se yeh manzarAshur ki woh subeh azan-e-Ali Akbar(as)Ek pyase ko har simt se ghere hai sitamgarWo naiza wo paikan wo talwar wo khangarMaqtal ke wo muazir ka Laasha sar-e-maqtalBarchi ka nishaa'n sine pe ek tuta hua palTalwar se ek turbat-e-besheer ba nanaTurbat pe phir ek soya hua chand chhupanaPhir kaapte hoto se yeh zamee'n ko yeh batanaAsghar(as) tera mehma'n ise jhoola jhula naPani jo maya sar na hua haya duhaiAshko rida turbat-e-Asghar(as) chadhaiWo asr ka hangam ghadhi qatl kiJab Shimr(la)ne ek pyase pe talwar chalaiEk ret ke tire pe gayi Zahra(sa) kiMaqtal me behen ro ti rahiNaize pe bhaiManzar wo baya'n kaise kare "Mesum o Mazhar"Baba se kaha Fatema Zahra(as) yeh rokarAre loot jayga jab dasht-e-bawa me mera gharRoe go kaun bhala mere bachche jakarBeti se farmane lage Ahmad-e-MukhtarTa hashr ise roe ge duniya me azadar
Jibreel aur Karbala
Meesum Abbas · 2020
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.