Kaash mai daur e payambar mein uthaya jaata..(2)ba khuda qadmo mein sarkaar ke paaya jaatakaash mai...1. Saath sarkaar ke ghazwaat mein shamil hota..(2)unki nusrat mein lahu mera bahaya jaata2. Ret ke zarro mei Allah badal deta mujhe.(2)phir mujhe raahe Mohammad mei bichaya jaata3. Khaak hojata mai sarkaar ke qadmo ke tale..(2)khaak ko khaak e madina mein milaya jaata4. Milke sab log mujhe matti se gaarha karte..(2)phir mujhe masjid e nabawi mein lagaya jaata5. Kaash aye kaash..(2)kaash aye kaash mai hota koi aisi lakdi..(2)jisko sarkaar ke mimbar mein lagaya jaata6. Unke roze ke daro baam sajane ke liye..(2)rozano mein meri aankho' ko lagaya jaata7. Laaya jaata sare darbaar aseero'n ki tarha..(2)hukm par unke mai azaad karaya jaata8. Ya utarta mai kisi naat ke misre bankar..(2)ru ba ru unke mai unko hi sunaya jaata9. Hote us daur ka qissa koi "Noor" o "Farhan"..(2)Aaj ke daur mein baccho ko padhaya jaataKaash mai daur e payambar mein uthaya jaataba khuda qadmo mein sarkaar ke paaya jaataKaash mai daur e payambar mein uthaya jaata
Kaash mai daur e payambar mein
Farhan · 2016
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.