Fatima zehra, fatima zehra..(2)ghum e hussain mein kaisa sharaf ye paaya haike apne haatho'n se maine alam sajaya haisuna hai aati hai majlis mein fatima zehraye baat soch ke farsh e azaa bichaya haikaram ye majlis e shabbir ne kiya warnakaha'n ghareeb ka ghar, aur kaha'n hussain ki maa..(2)karam ye majlis e shabbir ne kiya warnakaha'n ghareeb ka ghar, aur kaha'n hussain ki maa..(2)1. Khabar hai binte rasool e khuda ke aane kibadal rahi hai hawaein ghareeb khane ki..(2)mera naseeb ke mehmaa'n hui meri zehrakaha'n ghareeb ka ghar...2. Farishte, shaah, gadagar sabhi hai peshe nazarhai ambiya ki qatarein lagi mere ghar par..(2)tumhare aane se bibi ye martaba paayakaha'n ghareeb ka ghar...Ye majlis e shabbir mein behte hue aasufirdaus ke bagho'n mein saja deti hai zehrashehzadi zamee'n par ise girne nahi detibach jaye to kausar mein mila deti hai zehra3. Ye nauha khwani ye soz o salam aur matamhamare ashk hai bibi ke zakhm ka marham..(2)agar na hote wasila ye matam o nauhakaha'n ghareeb ka ghar...4. Ghareeb khane ko jannat bana diya bibikhushi ye aisi hai jisne rula diya bibi..(2)har ek ashk ne aankho se girte girte kahakaha'n ghareeb ka ghar...5. Sare hussain jo sheeree ke ghar mein aaya thasare hussain ke hamraah aayi thi zehra..(2)jo dekha bibi ko sheeree ne ye kiya nauhakaha'n ghareeb ka ghar...Haye..Jab kisi ghar mein koi mar jaye... mar jayeduniya ghum baatne ko aati hai... aati haihaye kitni ghareeb hai zehra...pursa lene bhi chal ke aati haiya hussain, ya hussain..(2)Ghar mein mere majlis huiaur bich gaya farsh e azazakir ne jab majlis padhiaur haal rukhsat ka jo padhaitna roi zehra..(2)Farhan aur mazhar padha, nauha shahe mazloom katha zikr jab ashoor ka, shabbir par khanjar chalaitna roi zehra..(2)Dete rahe ehle azaaghazi ka pursa, sarwar ka pursaakbar ka qasim ka asghar ka pursaitna roi zehra..(2)Zainab ka kulsum o fizza ka pursasajjad bali sakina ka pursaitna roi zehra..(2)Baali ka pursa, chadar ka pursaaun o mohammad ka baqer ka pursaitna roi zehra..(2)Naizo pe rakhe har ek sar ka pursabibi tumhare har ek ghar ka pursaitna roi zehra..(2)
Kaha ghareeb ka ghar
Farhan · 2018
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.