kaisi Yeh shaam aayi aulaade sayyada par,Sajjad ro rahe hai, zainab se muh chhupa karEk simt bekafan hai bhai ka uske laashaAbbas ki behen ka baaki raha na pardaAb sochti hai zainab maange kafan yaa chaadarBaba hai kulle imaa'n maa meri Sayyada haiGurbat ko meri dekho haatho se muh chupa haiHaste rahe muslamaa'n meri aba jalakarBaazu kahin pade hai lasha kahin pada haiZainab ki bebasi par ghazi tadap raha haiRoti hai bekasi bhi farshe aza bichha karJo ghar me do kadam bhi paidal nahi chali haiEk din mei wohi Zainab Abbas ban gayi haiPehre pe aagayi hai tanha alam utha karDushwar hai bahen ka laasho ke samt janaAye ghumzada hawao Abbas ko bulanaBehte hai mere aansu nauha yehi sunakarSajjad se lipat kar kehti rahi sakinaEhsaas ho raha hai main ho gayi yateemaZaalim dara raha hai naiza dikha dikha karHai imtehaan Mera aashur dhal gayi haiBaad e Hussain Zainab jeeteji Mar gayi haiSajjad natava hai kamsin hai Mera baqarLaasho ke darmiyan woh baba ko dhoondti haiMuh apna peet kar Yeh faryaad kar rahi haiKadmo me hi sula do baba mujhe bula karJab agaye najaf se beti ko milne babaZannu pai rakh ke sar yeh kehne lage wo dukhiyaZainab ujar gayi hai karbobala basa karKhaimon ke sath jula bistar bhi jal giya haiNamose Mustufa ko baaghi kaha gaya haiLe jayenge subha ko qaidi hume bana karGuzre kaise yawar maqtal se shahzadiabid ne raat momin yeh soch kar guzarizainab ka naam lega zalim Jo muskura karKaisi Yeh shaam aayi aulaade sayyada par,Sajjad ro rahe hai, zainab se muh chhupa kar
Kaisi ye shaam aayi
Sayed Shabrez · 2016
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.