Gar Koi Puchhe Azadare Husaini Se SawalWo Kaha Jayenge Gar Izn E Safar PayengeAshq Aankho Me Liye Ham To Yahi BolengeHam Azadar Hai Ham Karbobala JayengeHo Meri Puri Dua Ya Aba AbdillahHam Bhi Chale Karbala Ya Aba AbdillahIs Baras Arbaeen Pe Ho BulawaKarbala Karbala Humko BulanaKarbala Karbala Humko Hai JaanaDar Pe Jo Aapke Pohchae Woh Qismat Dee DeiNKarbala Aane Ki Ek Baar Ijazat Dee DeiNApni Jhuka Kar Main JabeeN Ya Aba AbdillahChoom Luu Jannat Ki ZameeN Ya Aba AbdillahMere Lab Par Hai Saji Bas Yehi DuaKarbala Karbala Humko BulanaKarbala Karbala Humko Hai JaanaSath Ho Parchame Abbas Ki Thandi ChhaonAapke Dar Ki Taraf Badhte Ho Mere PaaonKhak Ko Aankho Me MaluN Ya Aba AbdillahTeri Ghulami Me RahuN Ya Aba AbdillahHai Mere Dil Me Faqat Ek MudduaKarbala Karbala Humko BulanaKarbala Karbala Humko Hai JaanaBas Najaf Se Tere Rauze Ki Mili Ho RaahenAur Alam Par Hi Tiki Ho Ye Meri Namm AankhenDard Karu Tumse Ayaan Ya Aba AbdillahHaal Karu Tumse Bayaan Ya Aba AbdillahSun Lo Is Be Nawa Ki Hai Yahi SadaKarbala Karbala ....Raste Bhar Saje Khidmat Ke Aza Khane HainLog Mowkib Me Tere Ishq Ke Deewane HaiLete Hai Sab Naam Tera Ya Aba AbdillahBante Hai Sab Tere Gada Ya Aba AbdillahHar Taraf Ishq Ki Hai Bas Tere HawaKarbala Karbala ....Kabhi Zayer Ke Thake Paaon Dabaaye KoiAur Nida Deke Sabeeloñ Pe Bulaye KoiMaula Karo Apna Karam Ya Aba AbdillahDekh Lu Mai Tera Haram Ya Aba AbdillahDhoop Me Naam Tera Saya Ban GayaKarbala Karbala ....Koi Khana To Koi Pani Pilata Hai WahañApne Bachhoñ Ko Bhi Khidmat Me Lagata Hai JahañTumse Hai Ye Unki Wafa Ya Aba AbdillahKarte Raho Apni Ata Ya Aba AbdillahBas Gayi Hai Meri Saanso Me KarbalaKarbala Karbala ....Paaon Mein Pad Gaye Chaale Pe Kabhi Rukte NahiIshq Ki Raah Mein Chalte Hue Ham Thakte NahiDard Tera Yaad Kiya Ya Aba AbdillahWird Labo Par Jo Raha Ya Aba AbdillahBas Tere Gham Ko Hi Bana Liya DawaKarbala Karbala ....Bab E Abbas Pe Jab Qafila Aakar Ke RukaHath Phailae Hai Jab Dikhne Laga Sahne AtaDekh Liya Bab E Qamar Ya Aba AbdillahJhukne Laga Sajde Me Sar Ya Aba AbdillahMang Lo Deke Sakina Ka WastaKarbala Karbala ....Is Safar Mein Tera Waris Bhi Chala Karta HaiApne Zaayir Ki Har Ek Aah Suna Karta HaiDeta Wo Sath Sada Ya Aba AbdillahHai Ye Riwayat Me Likha Ya Aba AbdillahSath Zayer Ke Safar Mehdi Ne KiyaHath Katwaye Magar Aaye Ziyarat Ke LiyeKuch Ne Samaan Rakhe Girvi Kisi Ne BecheeBachho Ko Qurbaan Kiya Ya Aba AbdillahPukhta Ye Imaan Kiya Ya Aba AbdillahKarwaañ Ishq Ka Kabhi Nahi RukaPahucha Jab KarbalaHath Dil Par RakhaSoch Kar Bas YahiDil Tadapne LagaAkbaro Asghar Ka GhamSani E Haider Ka GhamYaad Mujhe Aa GayaSheh Ke Bahattar Ka GhamJab Tak Ye Zamana Hai Azaa Baqi RahegiShabbir Teri Karbobala Baqi RahegiHijr Me Asim E Beemar Bahut GhabrayeMaut Se Pahle Ziyarat Ka Sharaf Mil JayeDil Ka Ye Arman Kahe Ya Aba AbdillahRoke Ye Rizwan Kahe Ya Aba AbdillahJo Nahi Aa Saka Tu Unko Bhi Bula.
Karbala Karbala Hum Ko Bulana
Rizwan Rizvi · Poet: Asim Aijaz Abidi · 1448
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.