Karbala, karbala, karbala..(2)Karbala...Zinda thi, zinda hai, zinda rahegiye to dil walo ki baat hai, isko samjhenge dil waale..(2)jiske seene mein dil hi nahi hai wo kya samjhegakarbala kya hai..(2)Jageer e akbar, karbalaHurr ka muqaddar, karbalahai dee'n ka mehwar, karbalakarbala...karwan e azaa saari duniya ko batla raha haikarbala mojiza hai..(4)1. Karbala ki zamee'n par karodo basharshauke deedar mein aate hai saal bharjis taraf ho nazar,har taraf sar hi sarraisa majma na yasrab na kaabe mein dekha gaya haikarbala mojiza hai..(4)2. Saari duniya ki khatir dawa ban gayibe saharo'n ki khatir asaa ban gayikhoon e shahe hudais jagah jab girajisko tum khaak kehte ho duniya ki khatir shifa haikarbala mojiza hai..(4)3. Jab watan se kahi bhi koi jayegasaath saugaat pardes ki laayegazaere karbalanauha karta huajo raha bekafan uske darr se kafan le chala haikarbala mojiza hai..(4)4. Haq likho haq padho to gawah ast hussainkarbala deen hai dee'n pana ast hussainkeh raha hai qalammujhko rab ki qasammaine sirre shahadat ki tafseer mein ye kaha haikarbala mojiza hai..(4)5. Do jaha'n ke liye ek maseeha bhi haikarbala, karbala ek wazeefa bhi haihar maraz ki dawahai shifa hi shifamil gayi jisko beenayi wo to yehi jaanta haikarbala mojiza hai..(4)6. Zarf ko aazmati hai karbobalaishq karna sikhati hai karbobalapadh namaz e wafaraaz khul jayegaapne mabood se law lagane ka ek raasta haikarbala mojiza hai..(4)7. Fikr e batil se hai munharif karbalasab zameeno se hai mukhtalif karbalatumne dekhi kahee'nkhoo'n ugalti zamee'nye gawahi to sadiyo se aashoor bhi de raha haikarbala mojiza hai..(4)8. Karbala mein jo shame ghareeba huishame ghareeba..(3)dekha zainab ne aate hai shere khudabaap ko dekha beti ne ki iltejaaagayi shaam e ghareeba baba..(2)haaye irfan o mazhar ye nauha tha zainab kababa.... baba.... baba..ek din mein mere ghar ko sitamgaaro ne lootapamaal kiya laasho'n ko khaimo ko jalayaabbas ke baazu kate - mai ujad gayibachhe mere maare gaye - mai ujad gayiduniya se jab asghar gaye - mai ujad gayihaan mai ujad gayi babahussain ya hussain, ya hussain, ya hussain ya hussain..(4)
Karbala mojiza hai
Irfan Haider · 2017
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.