Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Karbala se lut ke nana Teri zainab aai hai

Syed Faizan · 2022

Karbala se lut ke nana Teri zainab aai haiLeke sare ghr ka sadma Teri zainab aai haiHam pe jo guzri hai Nana kaese batlaun tumheKis tarah ummat ke sare zakhm dikhlaun tumheHo gaya taraj kunba Teri zainab aai haiKarbala..Mar gaye abbas o qasim mar gaya akbar meraPyas ke badle sitam ka teer asghar ko milaLeke abid ka sahara teri zainab ayi haiKund khanjar shimr ka shabbeer ka sookha galaDekhti main rah gayi katta raha sheh ka galaKho ke bhai ko madeena teri zainab ayi haiPayas se bali sakeena jaan balab hone lagiMashk ko lekar chala phir janib e dariya jariLout ke aya na saqqa teri zainab ayi haiQasim e gulpairahan run me gaya tha nana jaanHo gaya pamaal bhai ki nishani neem jaanKarabala se bch ke dukhiya teri zainab ayi haiKhak arman ho gaye seene me jab naiza lagaMain tadap kar bol uthi akabar ye tumko kya huaHo gaya taaraaj kunba teri zainab ayi haiDil mra seene me nana aaj bhi hai beqararMere dono laal ne mamu pe kar di jaN nisarChhod kar sara gharana teri zainab ayi haiKarabala ke baad qaidi ban gaye ahleharamChhin gayi chadar saro se ho gaye majbur hmJhel kar har ghum ko zinda teri zainab ayi haiTashna lab bali sakina thi gale me reesmaRo raha tha dekh kar manzar zameeno asmaMar gayi pyasi sakina teri zainab ayi hai

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.