Aye Be-Watano Karbala WaloAye Kushta-Tano Karbala WaloHaaye Woh Neza, Woh Tera Seena,Laila Ke Pisar, Ae Ali Akbar.(Aye Be-Watano Karbala Walo)Laashe Jab Aaye Dono Beton Ke,Zainab Ka Jigar, Sajde Mein Hai Sar.(Aye Be-Watano Karbala Walo)Laash Dulha Ki Ran Mein Hai Bikhri,Pamaal Hua Dilbar-e-Shabbar.(Aye Be-Watano Karbala Walo)Kat Gaye Shaane Haaye Ghazi Ke,Kaise Woh Gira Reg-e-Maqtal Par.(Aye Be-Watano Karbala Walo)Jhule Wale Ki Pyaas Thi Kaisi,Chhe Maah Ki Jaan, Tashna Lab Asghar.(Aye Be-Watano Karbala Walo)Zibah Hota Hai Saamne Beta,Sar Peetti Hai Ghamzada Madar.(Aye Be-Watano Karbala Walo)Poochho Abid Se Kya Sitam Guzre,Pamaal Hua Laasha-e-Sarwar.(Aye Be-Watano Karbala Walo)Bint-e-Zahra Ki Haaye Mazloomi,Baazu Mein Rasan, Chin Gayi Chaadar.(Aye Be-Watano Karbala Walo)Gaal Zakhmi Hai Shah Ki Dukhtar Ke,Pursa Ye Mila, Chin Gaye Gauhar.(Aye Be-Watano Karbala Walo)Kaisa Waqt Aaya Aal-e-Ahmad Par,Ek Din Mein Luta Fatima Ka Ghar(Aye Be-Watano Karbala Walo)Roiye Paiham, Kijiye Matam,Deti Hai Dua Bint-e-Paighambar.(Aye Be-Watano Karbala Walo)Dijiye Himmat Hazrat-e-Hujjat (A.T.F.S),Hum Karte Rahen Matam-e-Sarwar.(Aye Be-Watano Karbala Walo)Hai Tadap Dil Ki Bas Rasheed Itni,Nauha Ye Padhe Shah Ke Roze Par.(Aye Be-Watano Karbala Walo)
Karbala Walo
Mir Abid Ali Moosvi · Poet: Rasheed Shaheedi · 1448
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.