Karbobala ke jangal mein chaand arab ka aaya haiChand sitaare dilwaale saath mein apne laaya haiSar pe amaama ehmad ka tegh kamar mein haider kiVaaris hai ye nabiyon ka maa zahra ka jaaya haiPaanv talak sar se lekar noor e khuda ka jalwa haiTooba ki khud shaakhon ne sar pe banaya saaya haiKaali aandhi chaayi hai khoon ugalta hai sehraAle mohammad par ban mein zulm ka baadal chhaya haiPhool se bachon ko le kar jaayein kahan maaein ban meinDhoop hai etni ban mein ke saaya bhi murjhaya haiBhaalon se talwaron se baagh e ali ko loot liyaDard se dharti chillayi arsh e barin tharraya haiZillat waale jeevan se maut bhali izzat waaliUsne shahadat paa kar ye duniya ko samjaya haiKhuld se kal jis tan ke liye eid pe aate the jodeAaj lahoo se ummat ne us tan ko nehlaaya haiKhuld se kal jis tan ke liye eid pe aate the jodeAaj use khoon ka joda Ummat ne pehnaya haiKarbobala ki dharti par main bhi qadam ek din rakhunHar pal ye naacheez hasan lab pe dua ye laaya hai
Karbobala Ke Jungle Me Chaand Arab Ka Aya He
Hasan Abbas · 2023
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.