Uthhe hai haath khudaya isi dua ke liyeNaseeb Ho Safar e ishq karbala ke liyeKarbala, karbala..(2)Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho..(3)Phir laut kar waha'n se..(2)Na aana naseeb hoKarbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho..(2)1. Ankho'n ko jab bhi ashk bahana naseeb ho..(2)Aale nabi ke ghum ka bahana naseeb hoKarbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho2. Aisa dar e Hussain pe sajda ho aakhri..(2)Phir mujhko apna sar na uthana naseeb hoKarbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho3. Parwardigaar thokarein dar dar ki kab talak..(2)Ab mustaqil Najaf mein thikana Naseeb hoPhir laut kar waha'n se na aana naseeb hoKarbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho4. Jaisa mila naseeb se ummul baneen ko..(2)Ab kya, ab kya..ab kya kisi ko aisa gharana naseeb hoKarbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho5. Mehshar yeh arzoo hai ke, be ghuslo be kafan..(2)Karbobala ki teh mei samaana naseeb hoKarbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho6. Aa'nsoo gire the baali sakina ke jis jagah..(2)Apna waha'n pe khoon bahana naseeb hoPhir laut kar waha'n se na aana naseeb hoKarbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho7. Ye kehke shaah nikle mazaar e Rasool se..(2)Pardes mein Kafan mujhe Nana Naseeb hoKarbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho8. Haaye,Asghar hai mere haath bandhe kehti thi Rabab..(2)Kaise tumhe gale se lagana naseeb hoKarbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho9. Mashkeeza leke Roza e Abbas ke Qareeb..(2)Sab Zairo'n ko paani pilana naseeb hoKarbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho10. Ek sar burida laashe ne bacchi ko di dua..(2)Zindaa'n se tujhko laut ke aana naseeb hoKarbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho11. Nazdeek e khaima gaah sakina ki yaad mein..(2)Shaam e garibaa'n shamma jalana naseeb hoKarbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho12. Sajjad shaam tak yahi karte rahe dua..(2)Chadar..Chadar mujhe phupi ko udhana naseeb hoKarbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho13. Aye kaash phir se Mir takallum faraat par..(2)Mahdi..Mahdi ko sheh ka nauha sunana naseeb ho..Phir laut kar waha'n se na aana naseeb hoKarbobala Naseeb se jaana Naseeb HoKarbala, Karbala, Karbala, Karbala, Karbala... Karbala..
Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho
Mir Hasan Mir · 2020
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.