Khaak urhaawo[Haae Zainab] ×3 Haae Madina[Are logo, ab khaak urhaao] ×3Pardes se lut kar aaya, shabbir ka kunbaa saara[Are logo, ab khaak urhaao] ×2Jo mera Hussein tha logo, jo yasrab ka tha ujala, pardes bulaa karusko, [aada ne maar hi daala] ×2 khaime se mei chillayi, pyaasa hai merabhai[Are logo, ab khaak urhaao] ×2Aabaad kabhi hota tha, ab hai wiraan madina, naa mei asghar ko laai,[na aayi saath sakina] ×2 ik dashte bala ko dhaaya, ek ne hai shaambasaaya[Are logo, ab khaak urhaao] ×2Lo akber ki bhi sunlo, usne taqdeer rulaadi, shabbir ke haath peusne [karli hai mout se shaadi] ×2 uski baatein howengi, sabki behnerowengi[Are logo, ab khaak urhaao] ×2Us waqt ghazab mei aayi, kehte hai aap karimi, jab khaak par khunmei tarpi, [qaasim ki paak yatimi] ×2 kuch shah khaimon mei laaye, kuchab tak dund na paae[Are logo, ab khaak urhaao] ×2Us dasht mei kufi shaami, kehte the koun mohammed, shabbir pe sadqakarke, [bheje hai aun mohammed] ×2 na mei ab tak soyi hun, na bachon koroyi hun[Are logo, ab khaak urhaao] ×2Shoukat farhaan bataado, sab gham ke baab sunaado, zainab chillayimujhko, [bas maa ki qabr dikhaado] ×2 kab shehr mei reh paaungi, meishaam chali jaaungi[Are logo, ab khaak urhaao] ×2
Khaak urhaawo
Farhan · 2004
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.