Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Khabar

Farhan · 2002

KhabarKisi Nay Aakay Madinay Mein Aam Ki Yeh KhabarSafar Say Aatay Hain Ibn(a.s.)-e-Batool(s.a.) Laut Kay GharHain Saath Akbar(a.s.)-o-Abbas(a.s.) Qasim(a.s.)-o-Asghar(a.s.)Sawaar Shaan Say Hain Bibiyan(s.a.) Bhi Oonton ParKhushi Manaao Madinay Mein Aarahi Hai Bahar[Watan Mein Laut Kay Aatay Hain Syed-e-Abrar] ×2Gharon Ko Apnay Sajaao Hussain(a.s.) Aatay HainSabilein Aaj Lagaao Hussain(a.s.) Aatay HainCharagh Ghar Mein Jalaao Hussain(a.s.) Aatay HainKhabar Yeh Sab Ko Sunaao Hussain(a.s.) Aatay Hain(Woh(a.s.) Aarahay Hain Woh(a.s.) Tohfay Bhi Saath Laengay) x2(Woh(a.s.) Sab Say Pehlay Mazaar-e-Nabi(s.a.w.w.) Peh Jaaengay) x3Yeh Sun Kay Ghar Say Nikal Aey Mard-o-Zan SaarayKeh Aarahay Hain Khuda Aur Rasool(s.a.w.w.) Kay Piyaray(a.s.)Watan Mein Aatay Hain Zehra(s.a.) Ki Aankh Kay TaarayKitab-e-Haq Kay Madinay Mein Aatay Hain Paaray(Saheliyon Nay Khabar Dee Yeh Jakay Sughra(s.a.) Ko) x2(Chal Uth Kay Dekhlay Sughra(s.a.) Tu Apnay Baiyya(a.s.) Ko) x3Pukarin Sughra(s.a.) Keh Din Eik Ka Naseeb HuaLo Meri Simt Bhi Mael Mera Tabeeb HuaKhushi Ka Koi To Lamha Meray Qareeb HuaMagar Yeh Saneha Sughra(s.a.) Peh Kia Ajeeb Hua[Basheer Khaak Urha Kar Sada Yeh Deta Tha] ×2(Aray Hussain(a.s.) Maray Gaey Syeda(s.a.) Ka Ghar Ujrha) x3Madinay Waalon Madinay Peh Chagai Hai KhizaanGharoon Mein Chain Say Baithay Huey Ho Aaj KahanZamin Karti Hai Matam Falak Hai Mehw-e-FughanRasool(s.a.w.w.) Giriya Kunan Fatima(s.a.) Hain Ashk Fishan(Mahallah-e-Bani Hashim(a.s.) Mein Sog Taari Hai) x2(Labon Peh Haaey Hussaina(a.s.) Ka Wird Jaari Hai) x3Pukaarin Sughra(s.a.) Yeh Kis Tarha Aai Ho Amman(s.a.)Kahan Hai Bhai(a.s.) Hamaray Kahan Hain BaBa Jan(a.s.)Phophi(s.a.) Kay Shaanon Peh Kion Hai Rasan Kay Daagh Ayan(Kahan Hai Asghar(a.s.)-e-Besheer Aur Sakina(s.a.) Kahan) x2[Chacha Kay Hotay Huey Kis Tarha Yeh Haal Hua] ×3Shaheed Karbobala Mein Ali(a.s.) Ka Lal(a.s.) HuaZaeef Kon Hai Amman(s.a.) Jo Saath Chalta HaiKabhi Woh Girta Hai Girkar Kabhi Sambhalta HaiBataao Jald Kay Seena Say Dam Nikalta HaiMujhay Khabar Na Thi Keh Waqt Yoon Badalta Hai(Nabi(s.a.w.w.) Kay Lal(a.s.) Ko Ummat Nay Qatl Kar Dala) x2[Aray Qusoor Kia Tha Kay Mara Gaya Mera Kunba] ×3Pukarin Baano(s.a.) Yeh Boorhha Hai Syed-e-Sajjad(a.s.)Hoi Hai Is(a.s.) Peh Bhi Baad-e-Hussain(a.s.) Woh BedaadYeh(a.s.) Roraha Hai Unhin Manzaron Ko Kar Kay YaadKoi Nahin Tha Jo Sunta Gharib Ki Fariyad[Dawa Kay Badlay Isay Tariyanay Lagtay Thay] ×2[Jo Neend Aati To Aada Jaganay Lagtay Thay] ×3Sinan Kalejay Peh Khakar Guzar Gaey Akbar(a.s.)Sitam Kay Teer Say Maaray Gaey Ali Asghar(a.s.)Gulu-e-Sibt(a.s.)-e-Payambar(s.a.w.w.) Peh Chalgaya KhanjarPhophi(s.a.) Kay Sar Say Utari Laeen Nay Chadar(Shaheed Hogaey Abbas(a.s.) Hum(a.s.) Aseer Huey) x2(Ameer Baap(a.s.) Kay Bachchay(a.s.) Sabhi Faqeer Huey) x3

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.