Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Khoon ke ansu

Fatema Ladak · 2012

Khoon ke aasoo rota hunKehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota hounHay samnay meray karbobala, mai(n) khoon kay aansoo rota hou(n)Jeetay raho sheh kay azadaroo, kab tum nay shahadat daikhee hayTum nay jo mussebat sirf sunee, main nay woh museebat daikhee hayAshkon kay bahaoo tum darya, main khoon kay aansoo rota hounKehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota hounGhafil nahi tum say aey logo, tum sab kee hifazat kartaa hounShabbir ka matum karta houn, din raat ibadat kartaa hounKarta hou khuda ko jab sajda, main khoon kay aansoo rota hounKehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota hounHum aal-e-nabee par zulm huwe, aur khoon say zameen yeh laal huwiLasha sheh ka pamaal huwa, zahra ki lahad pamaal huwiMarqad pe nahi koi saya, main khoon kay aansoo rota hounKehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota hounAbbas giray the ghoorray se, manzar yeh nazar main phirtaa haiWoh jis kay bazoo katt jayen, kaise woh zamin par girtaa hayAbbas ne kya mahsoos kiya, main khoon kay aansoo rota hounKehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota hounJab hoga zahoor kahun ga main, qasim lay lo akbar lay loYeh aun-o-muhammad hai bibi, bibi apna asghar lay loMaa khali jhulati hay jhoola, mai khoon kay aansoo rota houKehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota hounAb tak hay sakeena qaid wahaa, godee mai usko utha lougaJab ghaibat say main niklounga, zindan say usko nikaloongaKano say hay uskay khoon behta, mai khoon kay aansoo rota hounKehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota hounTayyar agar tum ho jao, zahir mai abhi ho sakta hounAey meray logo aaj bhee mai, bus rah tumharee takta hounDukh kon samajhta hay mera, main khoon kay aansoo rota hounKehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota hounKitnay shahron bazaaron nay zainab ko khulay sar daikha hayAbid ki jo ankhon ne daikha main ne woh manzar daikha hayAankhon main hai abid ka chehra, main khoon kay aansoo rota hounKehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota hounDarbaar pe babe-saat ki mushkill who sehthi kis kay lieayMain soochta houn woh zainab ne qurbanee di thi kis kay lieayBahnain nahi karti jab parda main khoon kay aansoo rota hounKehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota hounKyun aaj yeh ahal e aza mere, maqsad ko bhulaeay jatay haiAamaal miray logoun ke qamar, jab mujh kow dikhae jatay haiMujh ko hota hay ranj barra, main khoon kay aansoo rota houKehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.