Khuda ki pehchan banke jabse mujhe ta'arruf hua hasan ka..(2)samajh me aane laga hai tab se mujhe bhi kuch kuch khuda hasan kaBatool e azra ki god me wo nuzool jab kar chuka hasan ka..(2)Ali ke hoto se kaam lekar khuda ne bosa liya hasan kaAli ke pehle hi waaste par khuda ne sunli jo baat meri..(2)to maine agli dua ki khatir bacha liya waasta hasan kaAbhi charagho ka silsila to janab e mehdi(a.t.s.f) talak chalega..(2)Abhi to zehra ke ghar me roshan hua hai pehla diya hasan kaLaqab badalne se shaam walo kabhi muqaddar nahi badalte..(2)Faqeer khudko ameer likhle na hoga hum martaba hasan kaYe mera jibreel fikr akbar maqam e sidra se kya badhega..(2)dimaagh chota sha'oor adna mai kya likhu martaba hasan kaKhuda ki pehchan banke jabse mujhe ta'arruf hua hasan kasamajh me aane laga hai tab se mujhe bhi kuch kuch khuda hasan ka
Khuda ki pehchan banke jabse
Mir Hasan Mir · 2011
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.