Goonji thi jo karbal me halmin ki sada hai;;;Gham khwar hain Maula ke ham hi ahle aza hain;;;Socho ye azadaron, shabbir ke gham khwaron !!!!!Kya ham hi Sayyida ki dua hain?Bibi ne sikhaya tha jo majlis ka tareeqa;;;Hamne to badal daala hai ab iska tareeqa;;;Apnayi dikhawat ki banawat ki rusumaat;;;Aur inko bhi kahte hain ibadat ka tareeqa;;;Kya ham hi Sayyida ki dua hain?Taqleed pe ham log bharosa nahin karte;;;Gheebat hai bura kaam yahi kaam hi karte;;;Naaraz na ho jayen kahin aale Muhammad (as);;;Is baat ki parwaah magar ham nahin karte;;;Kya ham hi Sayyida ki dua hain?Padhte nahin qur'aan namaze'n nahin padhte;;;Wajib hain jo ahkam ada wo nahin karte;;;Rakhte hain aqeedat pe hi bakhshish ka bharosa;;;Momin ye kabhi kaam kiya hi nahin karte;;;Kya ham hi Sayyida ki dua hain?Masjid me siyasat hai to mimbar pe siyasat;;;Mahfil me siyasat hai to majlis me siyasat;;;Kirdaar kashi karne me ham sabse hain aage;;;Ab isse badi kya ho bhala aur qayamat;;;Kya ham hi Sayyida ki dua hain?Majlis me ghame shaah ki karte hain dikhawe;;;Maqsad ko bhula baithe hain ham karbobala ke;;;Farshe aza pe ab na aqeedat na ehtraam;;;Jiddat pasandi aa gayi ikhlaas bhula ke;;;Kya ham hi Sayyida ki dua hain?Maa bahno ke sar pe hamein chadar nahin dikhti;;;Na mahramo ko dekh ke gardan nahin jhhukti;;;Aati hain muharram me har ek ghar meri Bibi;;;Ye dekh ke halaat wo kya sochti hongi;;;Kya ham hi Sayyida ki dua hain?Ham log azadar hain karte hain ye charche;;;Khoon e gham e Shabbir ke ham karte hain saude;;;Maulana ho zakir ho ya masjid ke nigehbaan;;;Kirdaar o amal apna khara ham nahin karte;;;Kya ham hi Sayyida ki dua hain?Wo izn agar dete hain ham padhte hain nauhe;;;Wo izn agar dete hain ham likhte hain nauhe;;;Ham apni numaish me magan aaj hain aise;;;Fankaar bane baithe hain ham zikr ke inse;;;Kya ham hi Sayyida ki dua hain?Socho ye azadaron ye tanhayi me jakar;;;Kis baat pe tanqeed hui ham pe ye aakhir;;;Ham door karein saari burayi ko amal se;;;Ek jaisa banayen chalo ham baatin o zaahir;;;Kya ham hi Sayyida ki dua hain?Khush ho gayin Bibi to duaen hamein dengi;;;Jannat me momino se wo jab aake milengi;;;Kirdaar o amal se jo kiya hamne ye saabit;;;Phir dekhna ye Fatima Zahra bhi kahengi;;;Haa'n tum hi Sayyida ki dua ho!!!!Haa'n tum hi Sayyida ki dua ho!!!!
Kiya Hum Hi Sayyida Ki Dua Hein
Ali Deep Rizvi · 2012
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.