Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Kohram mach gaya

Mir Hasan Mir · 2011

Alwida Alwidaqaime may aake shah ne jab alwida kahakohraam mach gayatha jiska intezar wo sa'at qareeb haidin dhal raha hai shame musibat qareeb haikuch dayr ki hai baat qayamat qareeb haizainab ghareeb bhai ki ruksat qareeb haiye keh ke maanga maa ka jo kurta sila huakohraam mach gaya...kuch door hatke khaime may bole shahe zamanzehmat na ho ke baazu badhao meri behanmai bosay loo waha ke bandhegi jahan rasanbaazu badha ke roti thi hamsheer khastatanbhai behan ke baazu ko jab choomne lagakohraam mach gaya...ye sunke binte fathema zehra tadap gayiboli gala badhao bas ab jald ya akhiamma ki baat aaj mujhe yaad aagayimai bosay loo wahan ke chalegi jahan churizainab ne badke chooma baradar ka jab galakohraam mach gaya...beti se phir ye kehne laga fatema ka laalrehna phupi ke paas rakhengi tera khayalghurbat hai tum phupi se na karna koi sawaalwarna tere padar ko bahot hoyega malaalphir sar pe haath rakh ke jo dene lagay duakohraam mach gaya...beti ko jab supurde behan kar chuke imamrokar behan se kehne lagay aasman maqamjaana watan jo qaid se chutkar ay tishnaqamkehna lehad pe maa ki mera aakhri salamaaya jo lab pe fatema zehra ka tazkirakohraam mach gaya...abid se phir ye kehne lagay shahe karbalabewaon ka aur yateemo ka ab tum ho aasrajo imtehan mera tha sab maine dediyaaagay tera jihad hai bemaare karbalabemaar beta baap se jis dam juda huakohraam mach gaya...Khaime se baahar aaye jo sultane karbalasar ko jhukaye rota tha khud asbe bawafaab kis tarha sawaar ho zehra ka laadlatanhai ke siwa koi yawar nahi bachajab suye nehr dekh ke ghazi ko di sadakohraam mach gaya...bhai ko tanha dekh ke zainab tadap gayiroti hui hussain ke nazdeek aa gayiaur phir raqaab thaam ke boli ay shahe deenlo mai sawaar karti hoo abbas gar nahiwayiz hua sawaar jo zehra ka laadlakohraam mach gaya...

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.