Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Kya baap se is tarha juda hote hai akbar

Syed Raza Abbas Zaidi · 2023

Haye ali akbar.. Haye ali akbar.. (2)Maqtal ki zamee'n aur qayamat ka wo manzarthe god mein shabbir ki zakhmi ali akbarbete ki taraf dekhke jab Ya Ali kehkarek haath rakha seene pe, ek haath sina parseene se sina khaich ke kehne lage sarwarkya baap se is tarha juda hote hai akbarmeri jaan akbar, tu yaad bohot aaegahaye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba1. Kya tumse kahu kis tarha pohcha hu sirhanemai ghutniyo chal kar tumhe aaya hu uthaneaankhein na karo band, meri jaan chalo gharkya baap se is tarha juda hote hai akbarmeri jaan akbar, tu yaad bohot aaegahaye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba2. Takleef hai seene mein ye ehsaas hai humkomehsoos karo tum bhi to is baap ke ghum komar jaunga yu ediya'n ragdo na zamee'n parkya baap se is tarha juda hote hai akbarmeri jaan akbar, tu yaad bohot aaegahaye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba3. Is haal mein gar saamne beta tera hotazakhmo ki taraf dekhke kya tu nahi rotado hausla seene se lagalo mujhe uthkarkya baap se is tarha juda hote hai akbarmeri jaan akbar, tu yaad bohot aaegahaye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba4. Chehre pe naqab is liye rehta tha tumhareAllah nazar na lage, akbar ko humarephir kiski nazar kha gayi hum shakl e payambarkya baap se is tarha juda hote hai akbarmeri jaan akbar, tu yaad bohot aaegahaye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba5. Kyu baap ki aghosh mein dum tod rahe hoghurbat mein akela hume tum chhod rahe hokyu hichkiya'n lete ho mere saamne dilbarkya baap se is tarha juda hote hai akbarmeri jaan akbar, tu yaad bohot aaegahaye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba6. Zalim ne sina maarke jab zee'n se girayahaatho'n se jigar thaam ke tu khaak pe aayachehre pe tere khoon hai, zakhmi hai tera sarkya baap se is tarha juda hote hai akbarmeri jaan akbar, tu yaad bohot aaegahaye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba7. Kuch der mein le aayega qasid khat e sughrahum se na padha jaega tum bhi na tadapnajis waqt pukarunga mai, khat seene pe rakh karkya baap se is tarha juda hote hai akbarmeri jaan akbar, tu yaad bohot aaegahaye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba8. Akbar ne jab aghosh mein li aakhri hichkizeeshan o raza khaime se zainab ne sadaa dimarjaenge shabbir teri laash utha karkya baap se is tarha juda hote hai akbarmeri jaan akbar, tu yaad bohot aaegahaye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.