Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Kya likha fatema sughra ne

Mir Hasan Mir · 2017

Haye..Haaye, haayeKya likha fatema sughra ne bataya na gaya..(2)Sheh se khat laasha e akbar pe sunaya na gaya..(2)kya likha..1. Sheh ne chaha to bohot zakhm magar itne the..(2)laasha abbas ka dariya se uthaya na gaya2. Jab talak aa na gaye saare sharabi tab tak..(2)saniye zahra ko darbaar mein laaya na gaya3. Dekha sairaab zabihe ko to bole sajjad..(2)mere baba ko to pani bhi pilaya na gaya4. Haye...Ek shabbir ki beti ke siwa duniya mein..(2)haye kisi masooma ko naaqe se giraya na gaya5. Bheedh is darja thi haste hue logo ki waha..(2)Haye sar bhi bazaar mein abid se uthaya na gaya6. Haaye..Baap ka sar jo mila soyi lipat kar aise..(2)maa se bhi baali sakina ko jagaya na gaya7. Mir sajjad shahe dee'n se ali asghar ka..(2)chehra jalti hui reti se chupaya na gayakya likha....

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.