Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Laadli aapki bus tadapti rahi

Imran Mehdi · 2017

Ye shaame Ghurbat ka manzar hai ahle azaBinte Zehra(sa) hai be maqna o be ridaDekha aata hai maqtal ki jaanib koyiBoli Zainab(sa) na aana idhar ajnabiDi sada aanewale ne ay ghamzadaMai hu baba tera binte Khairun nisaDekhkar apne baba ko binte Ali(as)Chhote bachho ki tarha se rone lagiKyu na baba sada tumne meri suniMere baba mai pardes mein lut gaiLaadli aapki bas tadapti rahi..(4)Masaaeb:Baba wo athhaara(18) saala Ali Akbar(as)Jisey maine naazo'n se paala thaJo hu ba hu mere naana ki shabahat rakhta thaJisney subhe aashur di thi azaa'nHairat hai zaalim ne takbeer baland karkeUske seene pe naiza maara tha..!!!!!1.Baba naazo’n se pala tha mene jiseyDil mein arman tha uska sehra sajeUskay laashay ko dekha he dil thaam kBas mein parhti rahi dil mein naad-e-ALI(as)2.Mustaqil zulm dhatay rahay ahl-e-sharNa hi bhai rahey or na noor e nazarAisey ujra he pardes me mera gharHogayi maut se bhi buri zindagiMasaaeb:Baba meri chaadar ka muhaafezBachho'n ki aas, Ghareeb Husain(as) ki quwwatWo mera bhai Abbas(as)..!!Neher par apne baazu kataakar sogaya....3.Tan se bazu juda thay alamdar kayBaba meney ye poocha tha ABBAS(as) seChor kar mujhko kio’n nehr par so gayeLash-e-ABBAS(as) baba tarapnay lagi4.Meray AUN O MOHAMMAD(as) bhi maray gayeAur janazay thay maqtal mein bay-sir parayMeney betay kiye hein fida bhaai pePhir bhi mein Shah-e-Dee’n ko bacha na saki5 Sakht tha mere baba mera imteha’nMeray sir par nahi thi rida baba jaa’nAur us par ye pardes ki sakhtiya’nKhaak-e-maqtal meray sir ki chadar bani6.Hai meray saath beemar beta meraUs ko meney bachaya jo khema jalaUsk zanjeer me baba jakra gayaKuch bhi kar na saki haaye majboor thi7.Rokay ZAINAB(sa) ney Salman di ye sadaSarey alam k hain app mushkil kushaKio na aye madad ko meri murtazaThak gayi baba jaa’n aapki laadli

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.