Haye akbar jawa'n, mera jawa'n haye akbar jawa'n..(2)laash akbar ki mere saath uthao amma..(2)aake maqtal mein mera haath batao amma..(2)haath batao amma..laash akbar ki mere saath uthao amma1. Guthniyo chalta hua laash talak aa to gayauski khushbu se mai akbar ka pata paa to gayadil ki quwat magar is baar mujhe chahiye haiquwat e haider e qarraar mujhe chahiye haiaake maqtal mein mera haath batao ammahaath batao amma..laash akbar ki mere saath uthao amma2. Humne socha hi kaha'n tha ke ye dina ayegaye mera laal mere saamne mar jayegahaal jo dil ka hai amma wo batau kaisenaujawani ko zaeefi mein uthau kaiseaake maqtal mein mera haath batao ammahaath batao amma..laash akbar ki mere saath uthao amma3. Haath ka zor gaya dil ki tawanayi gayihosla toot gaya aankh se beenyi gayitere shabbir ka ab dil na sambhal payegadum mera saath mein akbar ke nikal jayegaaake maqtal mein mera haath batao ammahaath batao amma..laash akbar ki mere saath uthao amma4. Apni tanhayi ka kya haal batau tumkozakhm e dil khol ke kis tarha dikhau tumkoaaj pehlu pe rakha haath utha le ammalaash ko mai, mujhe aap sambhale ammaaake maqtal mein mera haath batao ammahaath batao amma..laash akbar ki mere saath uthao amma5. Aap sirhane pe aajaye to kuch haath bateyaa se khaime ka safar amma tere saath kateamma akbar ke jo seene pe nazar padti haijaise ek aur sina dil mein mere gadhti haiaake maqtal mein mera haath batao ammahaath batao amma..laash akbar ki mere saath uthao amma6. Haye sehre ki jagah khoon hai mathe pe sajanaiza zalim ka hai is chaand se seeene pe lagadil ke armaan ko hai khaak mein milte dekhaediya'n khaak pe hai isko ragadte dekhaaake maqtal mein mera haath batao ammahaath batao amma..laash akbar ki mere saath uthao amma7. Bhai abbas jo hota to madad ko aatalaasha akbar ka mere saath mein wo uthwatais mere sher ka laasha jo mere haath mein haiamma ab saath mei tum ho ya khuda saath mein hai8. Hum likhe jaate hai aur sheh ka karam bolta haibil yaqee'n dil ki zubaa'n mera qalam bolta haisaari duniya mein raza sahib e tauqeer hu mainauhakhwani mein sare hazrat e shabbir hu maiaake maqtal mein mera haath batao ammahaath batao amma..laash akbar ki mere saath uthao ammasaath uthao amma..(3)
Laash akbar ki
Syed Raza Abbas Zaidi · 2018
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.