Haay, Shaame aashur jab rote rote ghash khaagayi SakinaKhwaab mein dekhti hai SakinaBhaiya qaasim ka aya he sehraJab na aaya nazar usko dulhaAre maqtal mein usko dhundne nikli woh jaa ba jaa[Nagaah usko laasha-e-qasim nazar aaya] ×2[Laashe qasim pe boli Sakina, Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo] ×21. [Ghar mein shaadi ki masnad bichhi he] ×2Fatima Kubra dulhan bani heDhoom shaadi ki ran mein machi heGhar chalo bhaai mehndi lagaaloLaashe kaasim pe boli SakinaGhar chalo bhaai mehndi lagaalo2. [Manqabat dada haider ki parh kar] ×2Haath mein tera sehra utha karTujhko awaaz deti he khaharGhar chalo bhaai mehndi lagaaloLaashe kaasim pe boli SakinaGhar chalo bhaai mehndi lagaalo3. [Ye ghari mujhko rab ne dikhaayi] ×2Aaj hai teri rasme hinaaiNeg mehndi ka dena he bhaaiGhar chalo bhaai mehndi lagaaloLaashe kaasim pe boli SakinaGhar chalo bhaai mehndi lagaalo4. [Kaisa kubra ka bigra muqaddar] ×2Siyaah kapre hai uske badan parKyun ye kehti hun mein ban mein ro karGhar chalo bhaai mehndi lagaaloLaashe kaasim pe boli SakinaGhar chalo bhaai mehndi lagaalo5. [Jis ghari tuta khwaab-e-Sakina] ×2Khud ko usne sar-e-dasht paayaPeet ke sar pukaari woh dukhyaGhar chalo bhaai mehndi lagaaloLaashe kaasim pe boli SakinaGhar chalo bhaai mehndi lagaalo6. [Hai phupi ke labon par ye nauha] ×2Hogaya qatl maqtal mein dulhaRaegaa(n) he mera ab ye kehnaGhar chalo bhaai mehndi lagaaloLaashe kaasim pe boli SakinaGhar chalo bhaai mehndi lagaalo7. [Amma farwa ko kaise sambhaalun] ×2Kis tarha mei tasalli unhe du(n)Pehle khud ko ye kehke sambhaaloGhar chalo bhaai mehndi lagaaloLaashe kaasim pe boli SakinaGhar chalo bhaai mehndi lagaalo8. [Dasht mein tha jo pur dard manzar] ×2Kehrahi paaye irfaano mazharKaanpti thi zamee(n) bas ye sunkarGhar chalo bhaai mehndi lagaaloLaashe kaasim pe boli SakinaGhar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe qasim pe boli sakina
Irfan Haider · 2010
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.