Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Labbaik Ya Hussain

Ali Deep Rizvi · 2017

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
- Labbaik ya hussain (2) × 2- Aey karbala ke chaaradar deedar Ya Hussain....Labbaik ya hussain (2) × 21.) Afsos karbala mein hum nusrat na teri kar sakeLekin ladenge aaj hum is daur ke yazeed seBan kar dikhayenge inhe mukhtar ya hussain2.) Baato ka daur ye nahi maidan e jung bulata haiiWo haqq ko jaan leta haii ispar wo jaan lutataHurr ki tarha nibhata hai kirdar Ya Hussain3.) Aashur ko hussain ne naasir ki jo sada di thiWo hi sada to maqsad e shabbir ki baqa ki thiAb bhi sada hai barsare paikaar Ya Hussain4.) Kurbaaniye hussain ye manzar hame dikha rahiiUtho hussainiyo chalo ab qaltgaah bula rahiUtho tumhe bula rahe sardaar Ya Hussain5.) Himmat hai kisme rok de jo matam e hussain koJaari rakhenge hashr tak ham majlis e hussain koHum sab hai jaan lutaane ko taiyyar ya Hussain6.) Jis jis jagah yazidiyat apna ye sar uthayegiHar us jagah hussainiyat use khaak mein milayegiEhd e wafa nibhayenge hubdaar ya Hussain7.) Labbaik ya Hussain hi izzat ki raah dikhata haiYe keh ke hurr jahannum se jannat ki simt aata haiAashur ko wo banta hai salaar Ya Hussain8.) Zinda rakhenge har jagah shabbir ke payaam koTayyar hum hai har ghadi ab nusrat e imam koHai jazba e shahadat se sarshaar Ya Hussain9.) Mat alwida kaho kabhi Labbaik Ya Hussain seBolo imam haazir hai Labbaik ya Hussain peHum to nisar kar denge har baar ya Hussain10.) Zainab ne haq nibhaya hai Labbaik ya hussain kaNaksha ulat ke rakh diya bibi ne sare shaam kaHar zehn ka bana diya ye aar ya Hussain11.) Rehbar bhi hai amal paira Labbaik ya hussain peDuniya dari huyi hai ab is naukar e hussain seHaq kar raha hai ye ada deedar Ya Hussain12.) Meri qaum ke mujahido ali deep ki hai ye sadaLabbaik ya hussain se ham hashr tak kare wafaMil kar kaho ke haazir hai gumkhwar ya HussainLABBAIK YA HUSSAIN (2) × 2

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.