Ik baap la raha hai lasha java,n pisar ka Bachho sahara dedo nala hai ye pidar ka1)Baba Husain a s. Ki kuchh tumko khabar nahin hai Ye lash hai pisar ki khaibar ka dar nahin hai Aasaan hai uthana..2 baba qile ke dar ka..2)Bazo latak rahe hain seene ko Gar sambhaluñKhuwat nahi hai itne jo dosh par uthaluñ Mai budha hogaya hoon..2 Lasha hai seembar ka..3)Abbas tum Kahañ hoo imdad ki ghadi haiJalti huwi zameeñ par lashe javañ padhi haiBanjao tum sahara..2 tooti huwi kamar ka...4)Amma ka naam zalim majme me le rahe hainMujh ko ghareeb keh kar awaz de rahe hainYe haal hogaya hai..2 abbas fauj e shar ka..5)Marne se iske meri beenayi ja chuki hai Ab lash ko uthane zainab s.a.bhi aa chuki hai Zainab s.a hai ab sahara..2is chote se Safar ka...6)Laila s.a to maa,n hai kaise dekhegi iska seena Dekhegi to tadapkar mar jayegi sakina s.aSadma nahin uthega..2 is para e jigar ka...7)Arman tha hamara tu meri lash uthata Amma,n ki payenti me meri lahad banta Dastoor to yahi hai..2 beta jahan bhar ka..8)Sughra ne khat likha hai usko jawab kya duñTu naiza kha chuka hai kya usko bhi bata duñMooñh tak raha hoon beta..2 sughra ke nama bar ka..9)Mola ke ghar me sahil andher ho chuka hai Hum shakle mustafa s.a.w.w bhi maqtal me so chuka haiJo laal tha ujala..2Dayeem ali ke ghar ka...
Lasha Jawa'n Pisar Ka
Syed Dayeem Raza · Poet: Sahil Chollasi · 1448
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.