Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Lashkar-e-Hussain Ban Kay

Farhan · 2003

Lashkar-e-Hussain Ban KayIsteghasa Hai "Rehan Azmi" MeraBargah-e-Aakhir-Uz-Zamaan(a.s.) Mein Aey KhudaLashkar-e-Imam(a.s.) Mein Hon Saaray Matmi"Farhan" Majlis-e-Hussain(a.s.) Mein Karay Dua[Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula] ×2Gharian Intezar Ki Tamam Ho ChukinZulm-o-Jor Ki Fizaen Aam Ho ChukinAap(a.s.) Kay Zahoor Ki Jo Thin NishanianRoonuma Woh Sab Har Aik Gaam Ho ChukinDair Ho Chuki Sahib-Uz-Zamaan(a.s.)Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula[Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula] ×2De Rahay Hain Kab Say Al-Ajal Ki Hum SadaBhaijtay Hain Har Baras Areezay Aur DuaMauj Ko Banalia Hai Apna Namah BarJaanti Hai Mauj Hi To Aap(a.s.) Ka PataAapp(a.s.) Kay Liey Hum Tarhaptay HainLashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula[Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula] ×2Masjidein Pukarti Hain Har Namaz MeinBargahein Dhondti Hain Har Ghari TumhainMajlison Mein Parhtay Hain Dua-e-NahiaAarzoo Hai Is Sadi Mein Tum Ko DaikhleinDaur Khatm Ho Ab Yeh Ghaib KaLashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula[Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula] ×2Intezar-e-Adl Hai Adalaton Ko BhiAap(a.s.) Aakhri Imam(a.s.) Barhwein(12th) Ali(a.s.)Aap(a.s.) Aeay To Dil Ko Chain AaeygaAap(a.s.) Hi Kay Intezar Mein Hai ZindagiTaigh-e-Haidery(a.s.) Aap(a.s.) LaengayLashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula[Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula] ×2Hain Libas-e-Deen Mein Mukhalif-e-AzaBaichnay Lagay Khateeb Zikr-e-KarbalaPara Para Kardia Hai Ittehad KoMajlison Say Hai Namaz Ka MuqablaWaris(a.s.)-e-Aza Deer Na LagaLashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula[Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula] ×2Parhtay Hain Namaz Sheh(a.s.) Kay Saaray MatmiZikr Hai Namaz Ka To Majlison Mein BhiSajda-e-Hussain(a.s.) Ka Jisay Khayal HaiJanta Hai Manzilat Ko Woh Namaz KiIs Tafarraqay Ko MitaeayLashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula[Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula] ×2Paash Paash Aap(a.s.) Ka Bhi Dil Hai Ya Imam(a.s.)Yaad Aap(a.s.) Ko Bhi Hai Woh Karbala Ki ShaamJab Ridaen Bibion(s.a.) Kay Sar Say Chin GaenJal Rahay Thay Jis Gharhi Hussain(a.s.) Kay KhayamPursa Lejiey Har Shaheed(a.s.) KaLashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula[Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula] ×2Ris Raha Hai Khoon Ab Bhi Jis Kay Kaan SayWoh Sakina(s.a.) Qaid Say Na Aai Laut KayQaid-e-Shaam Mein Lehad Hai Us(s.a.) Ki Aaj BhiAati Hai Sada Yeh Aaj Us(s.a.) Ki Qabr SayZalimon Say Ab Intaqaam LeinLashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula[Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula] ×2Intaqaam Shah(a.s.)-e-Karbala Ka Leingay Aap(a.s.)Majlison Mein Zikr-e-Karbala Kareingay Aap(a.s.)Matam-e-Hussain(a.s.) Kay Urooj Kay LieyApnay Jad(a.s.) Kay Haal Ka Nauha Parhheingay Aap(a.s.)Ghazi(a.s.) Ka Alam Hoga Haath MeinLashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula[Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula] ×2

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.