Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Lo agaya bazaar

Tejani Brothers · 2010

Lo agaya bazaar[Lo agaya bazaar] ×10[Bazaare shaam hai, bazaare shaam hai] ×2 Bazaare sham haiMazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar1.Meri phuphi amma, roti hai(n) be parda, lakhon ka hai majma, lo agaya bazaar[Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar] ×22.Ye soch ke rota hu(n), maa behne khule sar haiKistarha se dekhuga, jo samne manzar haiNeze pe hai ik sar, rota hai jo aksar, karta hai jo nawha[Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar] ×23.Bazu hai bandhe mere, mei kuch nahi kar saktaBochaar hai patthar ki, ham sab hai rassan bastaHai khun ka darya, jo sar se hai behta, haste hai ye aada[Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar] ×24.Har eik qadam baba, quran sunaata haiAur aag ke pathhar khud, chehre pe wo khata haiZahra ka dulara, Ahmad ka nawasa, hai barsare neza[Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar] ×25.Parde ka muhaffiz ab, sar apna giraataa haiKhu(n) rota hai wo ghazi, jab bhi nazar aata haiZainab ka khula sar, aur shaam ka manzar, sar pe nahi parda[Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar] ×26.ay habsh ke maki(n) ye, fizza ki sada aayi,thi aapki shahzadi, aur aaj hun me qaidiay mere bahaddur, kar itna tassawur,  hun aapki malka,[Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar] ×27.aur shimr ye abid se, kis fakhr se kehta hai,Parda teri zainab ka neze se utara hai,Quwwat hai ye meri, ahmed ki nawasi, ko shaam me layaa[Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar] ×28.wo nanni sakina ko manga hai kanizi me,me marta hun jiteji maahole sharabi me,ghabrati hai bachhi,  aur hoke me bhayi,  kuch kar nahi sakta[Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar] ×29.Maut ayegi zindaa(n) mei, pyaari meri behna kiHathon se banaunga, me qabr sakina kiWo khun bhara kurta, har aik tamacha, ye usko hai sehna , lo agaya bazaar[Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar] ×210.maula ko madine me, ik shaks ne jab puchhajo sab se musibat thi, wo konsa manzar tha,mola kahe rokar, dil soz tha manzar, nazron me jo chhaya[Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar] ×211.Jis bibi ko suraj ne, hargiz nahi dekha tha,Beparda khari thi wo, shaitano ka majma thaChehre ko Tejani, baalo(n) se chupaayi, parhti rahi khutba[Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar] ×2

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.