Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Mai Abu Talib hu

Miscellaneous · 2014

mai abu talib hu 8mai hu imran laqab mera abu talib haiaur nasab mera ala ghalibe al ghalib haijisme dhalti hai wilaayat woh mera qaalib haijo hai matloobe zamaana woh mera talib haikya hai maqsad mera maqsood samaj sakta haimai woh haamid hu jisey mehmood samaj sakta haimunkashif dekhe hai tauheed ke manzar mainejism me dhalte hue dekhe payambar mainekhudko poshida rakha kaabe ke andar mainegaud e paale hai ambaar ke paale maineapni hi zaat me alame anwaar hu maijo hai aalam ka khuda uska madadgaar hu maimaine har kaam kia zaate ahad ki khatirwaqf saase rabbe samad ki khaatirsurae feel bani hai mere jad ki khaatirbaat kaafi hai yeh rutbe ki sanad ki khaatirkab samaj paaya yeh zamaana mere ilhaamo koapna kehta hai khud allah mere kaamo kowaaqife azmate tauhid o risalat mai huutri quran se pehle woh ayat mai huhadiye waqt hu khlaiq ki hidayat mai hukasrate kufr me bas markaze wahdat mai humeri har had woh sarhad se mila deta haimeri baato ko woh aayaat bana deta haimasrafe khalike bari ka mai juzdan bhi hukhanae rabbe jali ka mai nigahbaan bhi hukulle imaan k liye haasile imaan bhi huek paikar me ali bhi hu mai imraan bhi huthi wila meri zamane me wali se pehlemai hi tha nade ali nade ali se pehlemaine azmat ki hijabo me nabuwat paaligaud me apni kabhi maine wilayat paalipaikare haidare safdar me imamat paalisurate ahmade mursal me risalat paalimushkile deen pe jo aayi unhe taala haimaine islam ko baccho ki tarah paala haimaine mehfooz rasulo ki wirasat rakhkhijaari maine toh nabiyo ki shariyat rakhkimujhme allah ne khud din ki nusrat rakhkimaine aayaat jahapar wahi aayat rakhkishere allah ko yu sher banaya mainemaut ki gaud me haider ko sulaya mainebaat yeh noor ali saare zammaane ko bataab bhi aati hai sare dehr yeh imraan ki sadalog jaa kehne lage haidere safdar ko khudaabu talib ne yeh kamzarf nusairi se kahasoch gar hai ali zee jaa toh fir mai kya hugar mera beta hai allah toh fir mai kya hu

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.