Subbat alaiyya masaib un lauannahasubbat alal ayyame sirna layaliyaMai mazlooma hunMai Fatima hun, mai Fatima hunBaba mai, mazlooma hunMai Fatima hun, mai Fatima hunMai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)Baba mai, mazlooma hunMai Fatima hun, mai Fatima hun'1. Meri rudaad suno,meri rudaad suno aapki Zahra hun maibabjaa'n ranjo masaeb mein girafta hu maikya sitam aapki beti pe hua hai dekhosin hai athara baras aur zaeefa hu maiBaba mai, mazlooma hunMai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)2. Bakhuda jab se utha aapka saya babamaine ek pal bhi kabhi chayn na paya babajhuk gayi meri kamar dard ko sehte sehteis qadar aapki ummat ne sataya babaBaba mai, mazlooma hunMai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)3. Haaye,uthne lagta hai mere dil mein ghamo ka tufaa'nus ghadi aur tadapta hai jigar babajaa'nmujhse kehti hai ye jab meri dulari Zainabkis liye baithke padhti ho namazein ammaBaba mai, mazlooma hunMai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)4. Din qayamat ka yeh dikhlaya gaya Zahra kobaba peshi pe bhi bulwaya gaya Zahra kophaad kar aapki tehreer zamee'n par fekibhare darbar mein jhutlaya gaya Zahra koBaba mai, mazlooma hunMai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)5. Mai uthane lagi jis waqt sanad ke tukdehas rahe the meri ghurbat pe sitamgar saareaaya us waqt mujhe aur bhi rona jis dummere bacho ne meri aankh se aasu pocheBaba mai, mazlooma hunMai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)6. Khoon ta hashr rulayega mujhe ye sadmababa mai bhool nahi sakti kabhi wo lamhamera masoom pisar saath tha mere us dumjab sitamgar ne mere rukh pe tamacha maaraBaba mai, mazlooma hunMai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)7. Haye wo hashr ka hangaam qayamat ka samaajis ghadi uthne laga jalte hue darr se dhua'nmaine darr thaam liya, ki tadap kar ye fugha'nrehem khao logo'n mere bache hai yaha'nmeri faryad kisi ne na suniyak ba yak toot pade darr pe shaqithokre maar ke darwaza giraya mujhparbaba jis waqt gira aapki beti pe darruspe chal chal ke guzarne lage wo ehle sharrBaba mai roti rahicheekh kar kehti rahimeri imdaad karodard hai hadd se sewalut gaya mera jaha'nmera Mohsin na rahamujhko koi na bachane aayameri nazro'n me andhera chayachur zakhmo se huipasliya'n toot gayiwaar kunfuz ne kiya, ungliya'n toot gayi..(2)8. Haaye,meri nazro ne qayamat ka wo manzar dekhadekh kar jisko laraz uttha kaleja meramaut tha aapki beti ke liye wo lamhajab pada gardan e Haider mein rasan ka phandaBaba mai, mazlooma hunMai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)9. Aaj jis waqt nazar sue baqi jaati haibekasi bint e nabi ki hame tadpati haiaye nadeem aaj bhi weeran kisi turbat seek beti ki yeh purdard sadaa aati haiBaba mai, mazlooma hunMai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)
Mai Fatima Hun
Raza Abbas Sultanpuri · 2024
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.