Main hi taskeene labe tishna dahan hota hoonKabhi darya kabhi aankhon se rawa hota hoonHain labe Asgare besheer ka ehsaan mujh parHo jahan majlis e Shabbir waha hota hoonMain hoon paani Auno meri kahani...x2Zindagi jisse rawa hain woh rawani main hoonPyaas ko jisse hain nisbat woh kahani main hoonBe talab hoon talabe tishna dahani main hoonJab ye abaadi na thi tab se hi aabad hu mainKhud hain Quran gawah duniya ki buniyad hoon mainMain hoon paani..x2Rahi har daur me masoomon se nisbat mujhkoKar na paya koi paband shariat mujhkoPaak hoon aur taharat se hain ulfat mujhkoKhud sada deti rahi pyaas ne fitrat mujhkoDarde dil ke liye taskeen ka malham bankarPAYE masoom se nikla hoon main zam zam bankarMain hoon paani....x2Mere qisse hain bohot meri kahani hain bohotBarsare roo e zameen meri nishaani hain bohotKhittae khushk hain kam dehr me paani hain bohotRabbe Akbar ne bada martaba bakhsha hain mujheSayyada ke jo haqe mehr main rakkha hain mujheMain hoon paani ...x2Main wuzu banke namazon ki ada tak pohonchaBanke zam zam kabhi kaabe ki faza tak pohonchaMain tha pakeeza so main rahe wila tak pohonchaYehi nisbat thi Jo main karbobala tak pohonchaDo Moharram ko to alag the hi nazaare mereUtre alfaaq ke malik jo kanare mereMain hoon paani....x2Roze Aashur main ek aur hi duniya main rahaAshk bankar nigahe Sayyada Zehra main rahaRoshni banke kahi didae bina main rahaAuje kausain mila mashke Sakina main rahaSare maidan e wiga maujeza dikhlata rahaHukme Sheh hota toh khaimon main chala aata mainMain hoon paani....x2Rubaru tha mera bemislo misaale chehraChehrae Hazrat e Abbas woh aali chehraHashmi chand ka chehra tha jamali chehraMaine dekha tha jo gazi ka jalaali chehraKhauf tab se hi mere dil se juda rehta hainBas usi din se mera rang uda rehta hainMain hoon paani...x2Aaya jab Saniye Karraar kanaare mereAuj par pohonche muqaddar ke sitaare mereMashk me jaane ko betaab the dhaare mereSadqe khud pyaas ne aa aake utare mereRoze Aashur yeh azmat bhi mili hain mujhkoDaste Abbas pe Maeraj hui hhain mujhkoMain hoon paani...x2Log ab majlise Shabbir me late hain mujheSadqa Shabbir ka pyaason ko Pilate hain mujheMatami Shah ke aankhon se lagate hain mujheJab azadaar sabeelon me sajate hain mujheZakhm e jaa saare hi seene ke liye aate hainAmbiya bhi mujhe peene ke liye aate hainMain hoon paani. ..x2Yu mujhe sahebe zeeshan kiya pyaason neDil e momin ka ek armaan kiya pyaason neZaat par meri hi ehsaan kiya pyaason neApni majlis ka mehmaan kiya pyaason neMujhme taaseere dare Karbobala milti hainMujhko peele to farishton ko shifa milti hainMain hoon paani... x2Kya hain azmat meri aye duniya zara kar insaafDhoke kar deta hoon har daag e nidamat ko saafEk ajab kaam yeh karta hoon main fitrat ke khilaafTurbat e Hazrat e Abbas ka karta hoon tawafMujhe yoon saya hain gazi ki alamdari kaLaazmi hissa hoon main aaj azadari kaMain hoon paani.....x2Dil me ek noor ke didar ki hasrat lekarHoon rawa noor Ali main yeh taharat lekarDekh Farhan sharaf leke sharafat lekarMain hi chalta hoon arizon ki amanat lekarRashk kyu kar na kare auj e suraiya mujh parBaarwa aake bichaega musalla mujh parMain hoon paani....x2.
Mai hu paani suno meri kahani
Farhan · 2013
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.