Bayat ka sawal aaya jo paish-e-SHAH-E-DILGEER(a.s.)nazdeek huwi khuwab say jab khuwab ki ta'abeerlagnay lagin jab daao peh kul NABIYON(a.s.) Ki tauqeerBolay najis-e-dehar(l.a.) say yoo'n HAZRAT-E-SHABBIR(a.s.)Gharat kabhi TOHEED-O-RISALAT na karay gaMujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay gaMujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay gaTu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'NTu(l.a.) Kon Hai MAIN(a.s.) Kon Hoo'n sun aaey sitam afgaarTu(l.a.) deen ka munkir hai MAIN(a.s.) Islam ki dastaarTu(l.a.) Khaak ka putla hai to MAIN(a.s.) Markaz-e-AnwaarTu(l.a) Bhool anasir ki hai main Khalq ka shahkaarGum kardah nasab Tu(l.a.) hai to MAIN(a.s.) Raah-e-Khabar Hoo'nMarjana(l.a.) ki Tu(l.a.) bhool MAIN(a.s.) ZEHRA(s.a.) Ka Pisar hoo'nMujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay gaTu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'NTu(l.a.) Shaam ki Tareeki hai main Noor-e-Mubee'n Hoo'nTu(l.a.) Sang-e-Saqeefa hai main Ka'abay ka Nagee'n Hoo'nTu(l.a.) Takht peh baitha hai to Main(a.s.) Arsh Nashee'n Hoo'nShaitaa'n(l.a.) Ka Maka'n Tu(l.a.) Hai MAIN(a.s.) Jannat Ka Makee'n Hoo'nTu(l.a.) Rijz sarapa hai Main Khaliq ka wali Hoo'nTu(l.a.) Nasl-e-Umaiyya(l.a.), MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) Hoo'nMujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay gaTu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'NMAIN(a.s.) Aala tu(l.a.) Kamzaat hai ye baat samajh layMAIN(a.s.) Fatha hoo'n tu(l.a.) maat hai ye baat samajh layYeh Baat alag baat hai yeh baat samajh layMAIN(a.s.) din hoo'n to tu(l.a.) raat hai yeh baat samajh layYeh Baat samajh lay ke MAIN(a.s.) TOHEED Ki Jaa'n Hoo'nTu(l.a.) Rizq jahannum ka MAIN(a.s.) Sardaar-e-Jinaa'n Hoo'nMujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay gaTu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'NHai tera najis jism to shaitaan(l.a.) ki sooratPaikar hai Mera SOORA-E-REHMAN Ki SooratTu(l.a.) Paida huwa hai abu sufiyaan(l.a.) Ki sooratUtra Hoo'n MOHAMMAD(s.a.w.w.) Peh MAIN(a.s.) QURA'AN ki SooratSab log NABOOAT Ka samar kehtay hain mujh koTu(l.a.) jehl hai aur Ilm ka Dar kehtay hain Mujh koMujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay gaTu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'NTu(l.a.) jis mein pala woh abu sufiyaan(l.a.) ka ghar haiMAIN(a.s.) jis mein raha HAZRAT-E-IMRAN(a.s.) Ka Ghar haiJo ghar hai tera asl mein shaitaan(l.a.) ka ghar haiGhar mera MOHAMMAD(s.a.w.w.) Ka hai QURAAN Ka Ghar haiTatheer nay paai hai Taharat meray Ghar meinHar lamha barasti rahi la'anat teray ghar meinMujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay gaTu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'NKia deen ki khidmaat teray haath mein day doo'nIslam ki har baat teray haath mein day doo'nQURAAN Ki aayat teray haath mein day doo'nTu(l.a.) kehta hai MAIN(a.s.) Haath teray haath mein day doo'nIlzaam-e-Saqeefa hai teri zaat kay uparKul NABIYO'N Ka hai Haath meray haath kay ooparMujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay gaTu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'NMumkin hi nahin khuwab ki ta'abeer say bayatTareeki Talab karti hai tanweer say bayatTu(l.a.) Maangta hai kaatib-e-taqdeer say bayatHadd hai keh talab karta hai SHABBIR(a.s.) Say bayatRakh yaad ke daaman tera khaali hi rahay gaTu(l.a.) maangnay waala hai sawali hi rahay gaMujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay gaTu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'NKar ghor zara Aala Nasab tu(l.a.) hai ke MAIN(a.s.) Hoo'NKar ghor zara Shaan-e-Adab tu(l.a.) hai ke MAIN(a.s.) Hoo'NKar ghor zara Fakhr-e-Arab tu(l.a.) hai ke MAIN(a.s.) Hoo'NYeh Soch ke Khilqat ka sabab tu(l.a.) hai ke MAIN(a.s.) Hoo'NKhaliq ka jo maqsood-e-Nazar MAIN(a.s.) Nahi'n HotaDuniya hi nahin hoti agar MAIN(a.s.) Nahi'n hotaMujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay gaTu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'NHai Noor ALI Noor ki tanweer ka KhutbaQURAAN kay Honto'n peh hai Tafseer ka KhutbaFarhan ALI, HAZRAT-E-SHABBIR(a.s.) ka KhutbaTaqdeer peh hai Katib-e-Taqdeer ka KhutbaSabit huwa baatil ki himayat nahi'n kartaJo RABB(j.j.) Ka numaindah ho bayat nahi'n kartaMujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay gaTu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'N
MAI HUSSAIN IBNE ALI HOON
Farhan · 2011
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.