Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Mai sakina hu mujhe na maro

Irfan Haider · 2023

Haaye..Betiyo waalo suno..Ek shehenshah ki beti ka safarhar tamache pe jo kehti thi yehi ro ro karBaba...Baba...Baba... Baba..Jaan, baba ki wo shehzadi, ghazi ki bhatijiHaye, pardes me bichdi baba se wo bacchiKarbala se jo chali sham talak roti huihaath galo pe rakhe jab bhi jaha'n se guzrijisne chaha use mara, wo yehi kehti rahiMain..Main sakina hu mujhe na maroMain..choti zahra hu mujhe na maroHaye sakina, haye sakina, haye sakinaBaad baba ke jab sham e ghariba aayikhaimo mein qayamat laayihaaye,tumne cheeni meri baliya'nkhoo'n hai kano se ab bhi rawa'naur kurta bhi jala meraCheen li sar se rida qaidi banaya tumnephir gala bandh ke panjo pe chalaya tumnekabhi chalte hue naaqe se giraya tumneMain..ab yatima hu mujhe na maroMain..choti zarha hu mujhe na maro..Main..Main sakina hu mujhe na maroMain..choti zahra hu mujhe na maroHaye sakina, haye sakina, haye sakinaMere ammu ko yeh manzar na dikhao zalimogir jaega sar naize sehaaye,dekho zakhmi hai chehra meraraah mein itna maara gayakuch to ehsaas karo merasare abbase ke yun aage na lao mujhkokhaich kar baal tamache na lagao mujhkokaun hai kis se kahu aao bachao mujhkoMain..besahara hu mujhe na maroMain..choti zarha hu mujhe na maro..Main..Main sakina hu mujhe na maroMain..choti zahra hu mujhe na maroHaye sakina, haye sakina, haye sakinaKamsini mein bhi nazar aati hu dadi jaisighum itne sahe Mainnehaaye,dekho girti sambhalti hu Mainab sahare se chalti hu Mainkitna mushkil hai safar meraChar(4) barso mein hi ghurbat ka ajab aalam haimere baalo'n mein safedi hai kamar kham haisaans leti hu to lagta hai labo'n par dam haiMain..ab za'eefa hu mujhe na maroMain..choti zarha hu mujhe na maro..Main..Main sakina hu mujhe na maroMain..choti zahra hu mujhe na maroHaye sakina, haye sakina, haye sakinaQaid khane mein jab aayi to yeh manzar dekhahar samt andhera thahaaye,phir sakina ne rokar kahahaaye dum mera ghutne lagamujhko le jao mere babaPhir kaha shimr ye zindaan jise kehte haikya meri umr ke bachhe bhi yaha'n rehte haiyaad baba ki jab aaye to sitam sehte haiMain..ek dukhiya hu mujhe na maroMain..choti zarha hu mujhe na maro..Main..Main sakina hu mujhe na maroMain..choti zahra hu mujhe na maroHaye sakina, haye sakina, haye sakinaHaaye..Ek din aisa bhi aaya dare zindaan khulasaamne beti ke jab baap ka sar laaya gayazakhmi chehre pe sakina ke gire jab aa'nsushabbir ne aankhein kholihaaye,muh pe beti ne jab muh rakhabaap ke sar se aayi sadaatujhpe qurbaan tera babaKaisi zeeshan aur irfan e azaa ghurbat thibeti khamosh hui sunke sadaa baba kilene aaya hu tumhe ab na kahogi bibiMain..Main sakina hu mujhe na maroMain..choti zarha hu mujhe na maro..Main..Main sakina hu mujhe na maroMain..choti zahra hu mujhe na maroHaye sakina, haye sakina, haye sakinaHaye sakina....

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.