Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Mai uthata raha wo bikharta raha

Syed Mohammad Shah · 2023

Aaye jis waqt aseeron me wo tadfeen ke baadRoke karte the yai aabide muztar faryaadAisi haalat me tha laasha Abbas ka,Mai uthata raha wo bikharta raha - 2Dadi Zahra ki paamal thi yu duaMai uthata raha wo bikharta raha1. Maine chaha ke mayyat ko yakjaa raheApne haathon se baazu chacha ke chunePattharon se laaeno ne maara unhetukde tukde muje baazu unke mileEk baazu bhi unka salamat na tha2. Chaar su laash unki yu mujko miliJaise mayyat thi qasim ki bikhri huibabajaan ne aba me use chunliyaye bhi mumkin na tha haaye gurbat meriEk qaidi tha mai kaise laata aba3. Apni haalat karu kis tarha se bayaanEk manzar pe meri bandhi hichkiyapehluon per yu naizo ke kuch waar theYaad dadi ki aane lagi pasliyayu shikasta tha laasha sambhalta na tha4. Daayen jaanib se mayyat uthayi agarBaayi jaanib kiya haddiyon ne safarlaash paamal lashkar ne is tarha kiSher ke tukde tukde hui thi qamarMere kaandhon pe laasha sambhal na saka5. Run me ladte hue zeen se jab giraSar juda tan juda dono baazu judaMera battees barso ka kadyal jawaan6 mahine ke asgar ke jitna bachaUsko ghodo ne paamal aise kiya6. Teer se jis ghadi run me paani bahaAisa lagta tha ghazi ko aayi qazaMisle ghazi tha mashkiza Abbas kana wo khayme gaya na ye khayme gayabawafa ka tha mashkiza bhi bawafa7. Qaafela laut kar jab madine gayaHaye akbar ye ummul baneen ne kahaMera Abbas maqtal me kaise ladaBeta Sajjad kya haal laashe ka thaRoke sajjad bas ye hi kehta raha

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.