ya qatile jafaa, ya hussein-e-shaheedya hussein, maula hussein..(2)main pyaasa hun amma, main pyaasa hun amma..(2)hai khushk gala mera..(2)aur saamne hai dariyaa, haayemain pyaasa hun amma, main pyaasa hun amma..(2)1. Tumne toh sadaa apnepehlu mai sulaaya haijab pyaas lagi mujhkokhud paani pilaya haiseh roz se ab maine..(2)paani hi nahi dekha, haaye2. Khanjar meri gardan parab shimr chalaegaamma yeh samaa tumsedekha nahi jaegajalti hui reti par..(2)karna hai mujhe sajdaa, haaye3. Zakhmon me mere ammahai ret bayabaa kijalta hua sehra haisaaya bhi nahin koimai maalik e kausar hu..(2)hai phir ye sitam kaisa, haaye4. Ab ham nahin aayengezainab ko bata denamasoom sakina kotum paani pila denahargiz na pukarega..(2)ab aap ka yeh beta, haaye5. Har haal me darya parabbas ko jaana thayeh mashke sakina tohbas ek bahaana thadil Uska bhi jalta tha..(2)ghazi bhi samajhta tha, haaye6. Hamshakle payambar nejis dam se azaan di haiUss dam se laeenon nemohlat hi nahin di haiab aap ki godi me..(2)hai yaad mujhe aaya, haaye7. Bachpan se yeh aadat thijab pyaas mujhe lagtibin maange hue ghaziley aata thaa khud paanile aae zara paani..(2)ghazi ko sadaa dena, haaye8. Kausar pe mera lashkarjis waqt gaya hogahar chhota bada jaakarbaba se milaa hogahar ek ne yeh jaakar..(2)Unse bhi kahaa hoga, haaye9. Aye "meer takallum" homanzar tha bhalaa kaisaroyi jo nabi-zaadiek shor e qayaamat thajab chalne lagaa khanjar..(2)kehte hi rahe maulaa, haaye
Main Pyaasa Hun Amma
Mir Hasan Mir · 2008
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.