Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Majlis o matam sikhaya shukriya zainab ka hai

Anjuman e Mohibbane Hussain · 2015

Zikr e gham ki ibtedaa hi, tazkera Zainab ka haiMajlis o Maatam sikhaya, shukriya Zainab ka haiSaat sau kursi nashi’n hai, takht par Ibn e SitamIs bhare darbar mein bhi, dabdaba Zainab ka haiBaarhaa sar Gaazi ka aata hai jaanib farsh kiKaise sar naize pe rehta, sar khula Zainab ka haiQuwwat e baazu e Shabbir, hai Sakina ka chachaYe Ali ka mojiza hai, hausla Zainab ka haiKarbala, bazaar e Kufa, Shaam ka darbar, qaidSakhtiyaa’n itni, kaleja phool sa Zainab ka haiEk zaeefa mein numaaya hai bahattar ka wajoodBaad e Asr e Gham Haram ko, aasra Zainab ka haiHar Imam e Waqt ne taa’zim ki jis Bibi kiYe Khuda hi jaanta kya martaba Zainab ka haiNauha kya ek sher bhi tu likh nahi’n sakta ‘Salim’Kya teri auqaat ye to, mojiza Zainab ka hai

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.