Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me

Syed Mussaib Rizvi · 2012

ya hussain ya hussainmakke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala meai aabe zam zam ke peene walokoi hai pyasa karbala mekyu hai baqiyya me yeh udasirauza muhammad ka kyu hai khalibete ko rone baba ko lekar aayi hai zahra karbala mebaccho ko maae jhula jhulakar batlaa rai hai lori sunakardusvi muharram ko jal gaya tha nanha sa jhula karbala mejab mai madine se karbala ki janib chala toh aawaaz aayipani pilaana kyu ke hai pyasa mera nawaasa karbala meshayad yaha ho shayad waha hoauu kidhar mai baba kaha hopucho khuda se kitna chali hai bali sakina karbala meyaad aa rahi hai woh dosti bhi bachpan me jisne humko milayaibne mazahir ko sheh ne likhka mai hu akela karbala meek ek ayat ne siskiya liek ek surat bharti thi aaheinjab barchiyo par kuch hafizo ne quran uthaya karbala memara gaya yeh kiska muhammadiska kaleja cheda gaya kyubole musalman apne nabi ko hum hi ne mara karbala mebehurmati kyu karte ho meri aayat toh padhte tatheer ki tumroya musalmaan ki hairaton par zainab ka parda karbala meammar is ghum ne khu rulayajo mustafa ke kandho pe baithaummat ne uske lashe ko haaye ghodo se raundha karbala me

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.