Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Marsiya Imam Zamana

Shadman Raza · 2012

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
ha ek aayenaa shabe ashoor tha wo maqtal kaahussain ne jo bataya hilaal ne dekhaye hai imam e zamaana ki ghaibate kubraye farz kijiye lekar hame chale maulawahaan hussain zameen par jagaa bataate hainyahaan imam ye manzar hame dikhaate hain1. Padi hui hai ye laashen lahu hai ab bhi rawaanwo mera hurr e jari qatl hogaya mehmaanjo karbala ke the ansaar de chuke hain jaandilon ko thaam lo logo to kuch karu mein bayaanlaraztaa ab bhi tane paash paash hai dekhoye hai jo gathri ye qaasim ki laash hai dekho..(3)2. Lahu me dubi huwi hai shabihe payghambarjawaan ki laash pe girya kunaa hai har maadarpisar ke seene se barchhi nikaal ni thi magarna band ho sakaa wo zakhme sinaye akbardua karo ke ye ghaybat meri simat jaayeye zakhm dekh ke mera jigar na phat jaaye..(3)3. Har ek dukh meri ghaybat ki kaayenaat me haiye karbala jo bapaa hai ye meri zaat me haimein ro raha hun meri zulfiqaar saath me haigale me teer hai asghar ki laash haath me haibahot qarib se mein shor o shein sunta hunmein ab bhi maadare asghar ke bayn sunta hun..(3)4. Lahu me dubi meri qaayenaat hai logojigar hai sokhta tashna hayaat hai logotaweel ghaybate kubra ki raat hai logohar ek shahid ki maa mere saath hai logohar ek god hai khaali zahoor kab hogahar ek maa hai sawaali zahoor kab hoga..(3)5. Imam khaimaye ghaybat me ho gaye hain aseerchidi huwi hai sina se rasool ki taswirwo laashe qasim o abbas hai ye laashe saghirhar ek laash yahaan aake rakh gaye shabbirare bachaa hi kaun tha maqtal se koyi aa na sakaamere hussain ka laasha koi utha na sakaa..(3)6. Imam qatl huwe naasiron ko bhi khoyana waqt ne kabhi is mere zakhm ko dhoyana ek pal mein kisi raat chain se soyahazaar saal mein chautees(34) saal ko royaye qaid khaane ka rastaa bur kab hogasakina putch rahi hai zahoor kab hoga..(3)7. Hai mere zehn me wo qarb e aabide bimaarkhule saron ki aziyat wo shaam ka baazaaragar che paas mere hai hussain ki talwaarqamar me kya karun lashkar mera nahi tayyaarab inteqaam ka sab inhesaar tum par haimere zahoor ka daar o madaar tum par hai

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.