Ya Hussain (2) Ya Hussain (2)Aabaad rahe'n dil me azakhaney hamare,Bas zindagi guzre gham e sarwar ke sahare.Ham farsh e aza se na kabhi door hon maula, Har waqt zabano'n pa ho Shabbeer ka Nauha (2)Mil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)Mai BHI kahu'n Ya Hussain a.s Tum BHI Kaho Ya Hussain a.s Mil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)Jinno Bashar Aouliya, Kehte hain sab Ambiya (2) Hai yahi Rab ki Riza Hussain a.s Mil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)Momino ke wastay, Khas Rab ki hai ata,Ek wila-e-Murtaza, Ek Hussain ki aza,Matami Jo hai Hussain Ka, Usko Syeda ki hai dua,Kyun na tera gham kare'n, Majlis-o-matam kare'n (2)Hai yahi rooh ki ghiza Hussain a.sMil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)Banta hayat hai, Zameen-e-najat hai,Mangti Hussain se, Sari kayinat hai,Hai Karam ka baher-e-bekara'n, Bharta hai Hussain jhooliya'n,Bakhshisho Ka badsha, Hai saqa Ka Shahinsha (2)Sab pe karta hai ata Hussain a.sMil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)Sajda gahe auliya, Karbala hai Karbala,Bosa gahe ambiya, Karbala hai Karbala,Haq Ka rasta hai Karbala, Deen Ka pata hai karbala,Karne Jan-o-dil fida, Aao chale'n karbala (2)Ham ko Deta hai sada Hussain a.sMil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)Fatima Ka ladila, Hai bina-e-la illah,Izato Ka silsila, Azmato ki inteha,Ye riza-e-kirdigar hai, Deen e haq ka yeh qarar hai,Bekaso'n ka Aasra, Hai gareeb-e-nainawa (2)Sab ghamo ki hai dawa Hussain a.sMil ke kare'n Matam-e-Hussain (2)Hai ye arze karbala, Maojuza Hussain Ka, Karbala se pochiye, Hosla Hussain Ka,Bhai bete sab fida kiye, Deen ki baqa ke waastay.....Naz e dasht e karbala + Sher e shah e lafata,Wada sab wafa kiya + deen ko bacha liya, Zakhmon ko saja liya + khooon me naha liya,Sar ko bhi kata diya + ghar ko bhi luta diya (2) Dee' n ki ban gaya baqa Hussain a.sMil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)Sog me Hussain ke, Matami ghilaf me,Karbala ke aaj bhi, Kaba hai tawaf me,Ban ke inqelab ba khuda, Chagaya hai gham Hussain Ka,Ishq ne Mita Diya, farq rang-o-nasl ka (2)Har jagah hai gunjta Hussain a.sMil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)Kar ke khoon se wuzu, Ki namaz-e-ishq aada,Aap par Salam ho, Ya shaheed e Karbala,Katta tha Jawad jab gala, Tha labo'n pe shukr-e-kibriya,Lash par Hussain ki, Kehti thi binte Ali a.s (2) Hashr tak rahega ya Hussain a.sMil ke kare'n Matam-e-Hussain (2)Mai bhi kahu'n Ya Hussain,Tum bhi kaho Ya Hussain,Mil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)Ata e kibriya Hussain,Dilon ka badshah Hussain,Gareeb e nainawa Hussain,Qateel e be khata Hussain,Shaheed e karbala Hussain (2)
Matam e Hussain (A.S)
Murtuza Jazib · 2021
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.