Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Mazar e Fatima

Nadeem Sarwar · 2021

Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)Haye,Dekho mazar e fatima kitna udaas haiYa Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)1. Dekho mazar e fatima kitna udaas haiBus ek nishan e sang hi turbat ke paas haimehroom choomne se bhi har haq shanaas haibol aye zamane dega bhala kya jawaab tumehshar mein Mustafa ke jab aayega ru baruYa Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)2. Allah re ye Fatima Zahra ki bekasiek shamma bhi jalane ko aata nahi koitanha hai ek goshe mein beti rasool kicharo taraf madine mein phaili hai roshnitoote hue mazaar se lipti hai bekasiYa Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)3. Bol aye zamane kya tere daman mein kuch na thaZahra ne har namaz mein di hai tujhe duatu ek tooti qabr hi Zahra ko de sakajab dekhte hai ujdi hui qabr e Sayyedalagta hai jaise dhoop mein baithi hai FatimaYa Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)4. Zahra wohi ke jiske pisar hai Hasan HussainZahra wohi ke jiske hai shauhar shah e hunaynZahra wohi ke jo dil e payghambari ka chaynaisa luta ye chayn ke ghar baar lut gayaek dil tha Fatima ka jo sau(100) baar kat gayaYa Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)5. Pehlu mein aapke hai Hasan, Zainul AbideenBaqir bhi, aur Jafar e Sadiq bhi hai yahihaye kisi ki qabr salamat bhi ab nahimehshar mein apna dard sunayegi Fatimaummat ne jo kiya hai bataengi FatimaYa Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)6. Ghurbat rasool zaadi ki padhti hai marsiyahasrat se takta rehta hai roza rasool kaaankho'n mein ashk cheekhte hai wa Mohammadafarsh e azaa bichane ko aajaiye ImaamZahra ka ghum manane ko aajaiye ImaamYa Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)7. Bibi tumhare laal ke ghumkhwaar aaye haijaane kaha'n kaha'n se azadaar aaye hainauha sunane aapke zawwaar aaye haiye aarzu thi aankho'n se matti lagaengesocha na tha ke fateha padhne na payengeYa Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)8. Zawwar chup hai saara baqaiyya udaas haikarbobala khamosh madina udaas haihar ek nabi ka chahne wala udaas haibibi ko qabr mein bhi sukoo'n hai na chayn haihai pasliyo'n pe haath zabaa'n par Hussain haiYa Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.