Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Mei karbala mei hu

Fatema Ladak · 2011

Mei karbal mei hu(n)Kahtay Hai(n) yeh Imam-e-Zama(n) Karbala mai(n) hou(n)Ghurbat ka daikhta hou(n) Sama(n)-Karbala mai(n) hou(n)Woh hai(n) uthaye laash-e-pisar daikhta hou(n) mai(n)Daikha nahi(n) hay jata magar daikhta hou(n) mai(n)Parady mai(n) ghaib kay hou(n) nihaa(n)-Karbala mai(n) hou(n)Rehta hay mairay samnay maqtal ka aienaMehsoos dard hota hay Akbar kay zaghm kaChubhtee hay aik nook-e-sina(n)-Karbala mai(n) hou(n)Majmay say guzray itrat-e-athaar kis tarahRotay hai(n) ab bhee Abid-e-Beemaar kis tarahKaisay karoo(n) mai(n) dukh woh baya(n)-Karbala mai(n) hou(n)Zinda zameen par mai(n) paeay Intiqaam hou(n)Mai(n) waris-e-Hussian Alaieh-is-Salaam hou(n)Hay samnay Hussain kee Maa(n)-Karbala mai(n) hou(n)Bachee tamnchay khatee hay zalim say bay sababPanee nahi(n) hay peetee agarchay hay tashna labAsghar mera gaya hay kahaa(n)-Karbala mai(n) hou(n)Kya Jannat-ul-Baqeee- eka hay haal Haeay HaeayDadee kee qabr ho gaiee pamaal Haeay HaeayIk karbala bapa hai(n) yahaa(n)- Karbala mai(n) hou(n)Kahatay hai(n) Sach QAMAR ke yeh din hai(n) malaal kayAkbar kee lash laya hou(n) barchee nikaal kayKaandhay pa hay yeh lash-e-Jawaa(n)-Karbala mai(n) hou(n)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.