Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Mei nok-e-sina

Nadeem Sarwar · 2007

Mei nok-e-sinaJab Khatima ba qaid huwa foje shah kaKausar pe qaafila gaya pyaasi sipaah kaGhar luta gaya janaab-e-risaalat panaah kaKhaak urh rahi thi haal ka ye baargaah kaHaaye maqtal mein aayi Fatima Zehra barehna sarChillayi Zere tegh hai baba mera jigarAreh unnis saw hein zakhm tan-e-Chak chak parAreh Zainab nikal Hussain tarapta hai khaak parHaayi Pohonchi behan jo bhai ke maqtal mein nawhagharDekha sar-e-hussain he neze ki nok parAre Sadqe gayi luta gaye ghar wadagah meinHaaye junbish labon ko he abhi zikre Ilaah mein[Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura] ×2 Mein noke sina par hunMera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura[Nana dekho nawaasa kahaan aagaya] ×2Meine karbobala ko mu'allah kiyaKhoon mera aaj khaak-e-shifa ban gayaMeine bachpan ka waada wafa kardiyaMera waada huwa puraMein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa puraMera ghar mere bachhe meri zindagiaap ke deen pe sab meine qurbaan kiMere maathe pe woh tha do ab aakhriBar sare noke neza sawaari chaliMera waada huwa puraMein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa puraDeeno qura(n) bache tera kaaba bachaTa qayamat rahegi azaan ki sadaMadressa bangayi aaj se karbalaHaaye nana magar mera ghar na rahaMera waada huwa puraMein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa puraChakkiyan peesne waali maa ki qasamMeri aaghosh mein tora akbar ne damKaise laashe jawaan laaya suwe haramApne wade pe kehta raha gham pe ghamMera waada huwa puraMein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa puraKitne laashe uthaaye hein ik roz meinKitne aansun bahaaye hein ik roz meinSekro(n) teer khaaye hein ik roz meinSaare wade nibhaaye hein ik roz meinMera waada huwa puraMein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa puraBhai bat-tees barson se jo saath thaMeine waada nibhaane mein woh khodiyaKhaagayi uske shaano(n) ko ye alqamaWoh gaya aur darde kamar degayaMera waada huwa puraMein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa puraMere nana ye dulha ye kamsin jawaanAise ronda gaya dasht mein al amaanApne bete ko pehchan paayi na maanUski dulhan ne khud tordi churiyaanMera waada huwa puraMein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa puraHaan woh Asghar jo Sughra ki thi zindagiJis ki khaatir woh bimaar bachhi meriChhote chhote se kurte jo seeti rahiUska khun apne chehre pe malke abhiMera waada huwa puraMein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa puraMere nana Sakina ka gham dekhiyeUmr itni si itne sitam dekhiyeJalti reti pe uske qadam dekhiyeKitne majboor hein aaj hum dekhiyeMera waada huwa puraMein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa puraShaam "Rehan-o-Sarwar" jo dhalne lagiSar se Shabbir ke ye saada aati thiAy behen ab yahaan se qayaadat teriMere wade ki khaatir zuroori huwiMera waada huwa puraMein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa puriMei noke sina par hun

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.