Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Mera Beemar Imam Haye Sajjad Imam

Sajjad Hallauri · 2017

Radium'sThu, Sep 13, 10:48 PM (1 hour ago)to meMera bemaar imam haye sajjad imam...2Jab qaid hua sayyadey wala ka dulara.Koi bhi na tha banta to bekas ka sahara .Baba ko basad aas kai baar phukaaraShabbir ka sar bar sare naiza nazar aayaYe dekh ke bemaar ke muh ko jigar aaya.Mera bemaar imam haye sajjad imam..2Jalte hue khaymon ka sama dekh raha tha.Har simt fizaon me dhua dekh raha tha.Sukhe hue hothon ki foga   dekh raha tha.Begoro kafan shah ki udhar lash padhi thiAur tego sina leke idhar fauj khadi thi.Mera bemaar imam........2Bepardagiye zainabo kulsoom pe roya.Abbas pe aur sayyadey mazloom pe roya.Akbar pe kabhi asgare masoom pe royaZanjeere masayab me giraftaar thi aanheUjdey hue kunbe ki azadar thi aankhe.Mera bemaar imam .......2Wo karbobala kufa ho ya shaam ki manzil.Aajata tha jab samne shabbir ka qatil.Aankho se lahu bahta tha dil hota tha bismillNaize se sada aati thi mat josh me aanaAye laal mere maqsade islam bachana.Mera bimaar imam....2Fir shaam ke darbaar me laaye gaye qaidi .Hain aaley nabi kah ke dikhaye gaye qaidi.Rote the magar aur rulaye gaye qaidiBazare musibat ka sama yaad rahegaTa umr ye gurbat ka sama yaad rahegaMera beemar imam....2Betaab bayan kaise ho darbaar ka manzar .Sajjad tadap uthta hai ye waqaya sun karKahta tha laae kaun hai shabbir ki khwahar.Sarwar ke dulare pe ajab waqt pada thaSar apna jhukaye hue bemaar khada tha.Mera bemaar imam haye sajjad imam....2

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.